Nek biwi ki 4 batein
1) Khawind ko deen ke kaam mai madad karna.
Usee apne bacche ko deen sikhana hai, to woh use mai madad kare.
2) Biwi ko dekh kar dil khush ho.
Yaad rakhe Khubsurat biwi ko dekh kar aakhain khush hoti hai aur khubsirat biwi ko dekh kar dil khush hota hai.
3) Apne khawind ki baat manti ho.
Khawind ghaar ka ameer hai uske mashware me Allah SWT ne barkat rakhi hai. Agar apni baat manwani ho to khawind ke dil ko khush karo.
4) Apni Izzat aur namosh ki hifazat karne wali ho.
Aurat ka Jihad ghar me izzat ki hifazat karna hai.
* Nek biwi nekpukari ki wajah se apne sohar ke dil par hukumat karti hai.
* Aurat apne khawind ki itayat kare to rahee sulook ki har manzil par kar sakti hai.
* Aurat apne khawind ki farmabardari kare to itna fayeda pahoch sakta hai itna ke murshid se bhi nahi pahoch sakta.
* Hamesha sach bolna.
* Baat ko badalna, baat ko chupalena yeh sab jooth hai.
* muhabbat se har kaam nikalwana.
* Aisa kaam kabhie na kare ke Khawind ke dil me sak ho jaye.
Jahan sak peda ho jaye wahan se muhabbat ruksat ho jati hai.
Chand aham baatein
* Jab bhi khana banaye to bawudhu ho kar banaye aur zikar wa fikar ke saath banaye,
Isme khawind ke dil me khana noor peda karega aur apki mohabbat badh jayegi.
* Jab bhi khana banaye to hamesha ek ya do mehmano ki niyyat kar lijeye,
Isse mehmano ke khilane ka sawab mil jata hai, mehman aaye na aaye.
* Dusri baat har kaam ko apne time par mukammil karne ki aadat dal lijiye,
Ghar ke kaam main pasina bahana ye aise hai jaise isha ki wudhu se fazr ki namaz padhna.
* Ghar ko saaf suthra rakhna.
phelayo Allah ko pasand nahi, jab aurat betartib cheez ko tartib se rakhti hai to ek neki mil gayi aur ek gunnah maaf ho gaya.Niyyat ye na kare ke log khush ho jayenge par Allah kush honge ye niyyat kare, warna sari mehnat bekar.
* Suni-sunnayi adhi baat kabhi aage na badhaye.
* Jaldi se apna dil khol dena ye bahot buri aadat hai
har baat karne wala kher-khawan nahi hota.
* Hasty decision lena ye galat baat hai
* Khawind jab bhi ruksat ho to duaa de kar ruksat kare aur jab bhi wapas aaye to muskurah kar khawind ka isatqbal kare.
* Jab bhi khawind ke ghar aane ka time ho apne aap ko banaye sawaren,
yeh ibadat ke mannid hai, isme susti hargiz nahi karni chahiye.
* Jab bhi rishtdaro main jaye to sila rehmi ki niyyat se jaye,
Sila rehmi ka matlab rishte ko jodne ki niyyat se….. to appka jana ibadat ban jayega.
* Makhlooq-mehfilo se perhez kare.
Jahan parde ka ihtimam nahi wahan khushi ki baat par ek din pehle jaye aur gami mai ek din baad jaye,isse Allah bhi khush ho jayenge aur apna kaam bhi pura ho jayega.
* Waqtan-Fawaqtan apne khawind ko sadqa dene ko kahe,
Sadqe se balaa talti hai, Hadhat(SAW) ne kasam kha kar farmaya sadqe se maal mai kami nahi hoti.
* Apne ghar main musalla ki jaga banaye.
* Phone par baat muqhtasar kare,
Isse waqt bachta hai aur geebat se bhi bach jate hai.
* Ghar mai Diary ko rakhna, usme har kaam ka likh lena, jo batein karni hai, jo kaam karna hai, isse life tartib jada ho jayegi.
Mis-management ki wajah se urgent kaamo mai ulajh jati hai aur important baat bhool jati hai.
“well planned half done”
* First aid box banale.
* Har key jaga par rakhe, jewelley box ko sambhal kar rakhe, choti choti bataoon ka rabta banale.
* Koi aisa kaam na kare jisse khawind ki nazaro se gir jaye,
Chahe woh maal ke mutabiq ho ya character ke mutabiq ho.
* Bacchon ke bare mai puri report deti rahe taa ke khawind ye na kahe ke mujhe pehle kyouun nahi bataya.
* Khawind ki zaroorat ko puri karne mai apne taklif ki parwah na kare,
Khawind aurat kai liye Jannat ka darwaza hai, khawind ko khush hona darwaze ka khulna hai aur darwaze ka bandh hona khawind ka naraz hona hai.
* Bager wajah se khawind naraz ho jaye to bhi khawind ko manaye aur use khush kare yeh shariat ka hukum hai.
* Pareshani ke waqat khawind ko tasalli de.
* Galti ko maan lena.
Chup rehna bhi ek jawab hai.
* Sikwe-shikayat apne khawind ko batane ki wajah apne Rab ko bataye.
Duaa lambi karne ki aadat dale isse dil ko tasalli bhi milegi aur duaa ki lazzat bhi mehsoos hogi.
* Khawind ke rishtedaro se muhabat kare.
* Shariat ke khilaf kabhi kaam na kare.
* Namaz awwal waqat padhe.
Isse time ki pabandi life main aati hai.
Source :khanapakana
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021