Islamic Blog

Quran majid mai Allah ka farman hai – purab aur pachchim ki taraf chehera kar lena hi neki nahi hai balki hakikat mai neki to yah hai ki admi imaan laye Allah par, Qayamat par, farishto par, Allah ki nazil ki hui kitabo par, uske rasul par. Aur Allah ki mohabbat mai Ristedaro, Yatimo, Mohotaz, Mosafiro, Magne walo, aur gulamo ko azad karne ke liye apne malo se madad kare. Pabandi se namaz ada karo, maal ki jakat ada kare, wada pura kare, dukh-pareshani mai sabar se kaam le. Ayesa karne wale hi haq par hai aur yahi log muttaki wa parehezgaar hai.

Is ayat mai ye bataya gaya ki imaan sabse awwal hai. Imaan lane ke baad hi neki qabul hoti hai. Imaan wa akida durusht hoga to hi kisi nek kaam ka sawab milega. Allah wa Rasul par imaan lane ke baad is baat par yakin rakhna ki Qayamt ayegi. Allah ne duniya mai itne nabi-rasul bheje, wah haq hai, un par nazil hone wali kitabe haq hai. Farishte Allah ki nuri makhluq hai. In sari bato ko haq taslim karne ke baad Allah ki raza ke liye apne gareeb ristedaao, deeni bhai-behen, yatimo wagaira ki madad karna nek kaam hai.
Ibadat kai tarah ki hoti hai. Namaz ibadat hai jo badan se ada ki jati hai jakat ibadat hai isse maal de kar ada kiya jata hai. Haj bhi ibadat hai jisse ada karne mai maal aur badan dono sharik hote hai. Is tarah Allah ki raza ke liye kiya jane wala har kaam neki mai shumar kiya jata hai.
Dawlatmanot par Allah ne jakat farz farmayi hai. Jakat ki ye rakam jarorat mando deeni bhai-behen ko di jati hai. Is tarike se bahut se jarurat mando ki jarorat puri hoti hai aur dilo mai mohabbat paida hoti hai. Agar kawm ke maaldal hazraat imandari ke sath har saal apne maal ki puri jakat ada kiya kare to chand saal mai hi samaaj ka naksha badal sakte hai.
Wada wafai behad jaruri hai. Is duniyavi zindagi mai insaan ek-dusre ke  kaam ata hai. Is bich bahut saare kaam wa mallat pesh ate hai. Wada wa ikrar bhi hota hai jiski pabandi lazmi hai. Hadis shairf mai WADA WAFAI momin ki pahechan batayi gayi hai aur wada khilafi karne wale ko munafiq kaha gaya hai. Wada wafai ki pabandi karne se samaaj mai insaan ki izzat hoti hai aur wada khilafi karne walo ko achchhi nazar se nahi dekha jata. Isliye islam mai wada wafai ko bhi neki wa sawab ka kaam kaha gaya hai.

 

Issi tarah dukh-musibat mai sabar wwa himmat se kaam lene ko bhi sawab ka kaam bataya gaya hai. Insaan apni zindagi mai apni duniyavi jimmedariyan nibhane ke dawran shaykdo nek kaam karta wa kar sakta hai. Shart yahi hai ki imaan wa akida salamat rahe aur har kaam Allah ki raza ke liye kiya jaye.
I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm