Islamic Blog

» Nikaah «

∗ Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya, “Nikaah Meri Sunnat Hai,
Agar Koi Meri Sunnat Par Amal Na Kare, Uska Mujh Se Koi Taalluq Nahi.”
(Ibne Majahm 1846)

∗ Hazrat Ibne Abbas (Radiallaho Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya,
“Gawaho Ke Bagair Nikaah Karne Wali Aurate Jaaniya (Zina Karnewali) Hain”.
(Tirmizi Sharif, Jild-1, Safa-563, Hadees No. 1095, Baab No. 751)

∗ Baaligh Aurat Ka Nikaah Uski Marzi Ke Khilaaf Koi Nahi Kar Sakta,
Na Uska Baap Na Baadshah-E-Waqt.
(Bukhari Sharif)

∗ Hazrat Gause Aazam (Radiallahu Anhu) Farmate Hai,
“Nikaah Jumerat (Thursday) Ya Jumma (Friday) Ko Karna Must’hab Hai
Aur Subah Ki Bajaye Sham Ke Waqt Nikaah Behtar Karna Hain.”
(Gunyatuttalebin, Baab No. 5, Safa : 115)

∗ Musalman Aurat Ka Nikaah Musalman Mard Ke Siwa
Kisi Bhi Mazhabwale Se Nahi Ho Sakta.
(Qanoone Shariyat J:2)

∗ Jisne Apni Beti Ka Nikaah Sharabi Mard-Se Kiya,
Toh Usne (Beti Ko) Zina Karne Ke Liye Rukhsat Kiya.
(Tanbia Ul Gafilin. S:-169)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm