Islamic Blog

MEHBOOB-E-REHMAN SARWAR-E-ZISHAN صلل الله عليه وسلم Ne Farmaya: “Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH TA’ALA Se Daro”
(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

@ “Aadhe Deen” Se Muraad Ye Hai Ki. ….🍃🌼🍃

Deen ke is hukm par aur Nabi Pak SallAllahu Alaihi Wasallam ki is Sunnath par amal karne ke baadh aadmi Deen ki acchaayi ko qareeb se dekhta hai aur Deen ke kamaal ko pata hai aur Deen ke is hukm par amal karne se aadmi apne aap ko gunaaho se mehfooz rakh kar apne Deen par itmenaan ke saath Amal kar sakta hai aur apne Deen ki hifaazath kar sakta hai.

Nikah insaan ko zindagi mein bahuth saare gunaaho se rok leta hai aur saath hee saath bahuth saare acchaiyo par amal ka mauqa deta hai, Jaise biwi baccho ke liye mehnath karna, Un ki zaruraiyaath halaal tariqe se puri karna, Baccho ko deeni taleem, Un ki shaadi, Un ki acchi tarbiyath waghayra, Ye sab kaam insaan shaadi ke baadh kar sakta hai aur shaadi karne ke baadh ye sab kaam ALLAH se darte hoye

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm