Paanch (5) Waqt Ki Namazo Ki Misaal
Hazrat Abu Huraira
(RaziAllahu Ta’ala
Anhu) Se Riwayat Hai
.
RasoolAllah (Sallallahu
Alaihi WaSallam) Ne Irshad Farmaya:
.
“Batlaao Agar Tum
Me Se Kisi Ke Darwaze
Par Naher Jaari Ho, Jis
Me Rozana Paanch (5)
Dafaa (Baar) Wo
Nahata Ho To Kya Us
Ke Jism Par Kuchh Mail
Baaqi RaheGa?
.
Sahaba Ne Arz
Kiya Ke Kuchh Bhi Nahi
Baaqi Rahega.
.
Aap (Sallallahu Alaihi WaSallam) Ne Irshad
Farmaya:
.
Bilkul Yahi Misaal Paanch
(5) Namazo Ki Hai,
Allah Ta’ala Un Ke
Zariye Se Khatao
(Gunah) Ko Dhota Aur
Mitata Hai”
.
[Muslim Shareef]
.
[1] Fazar Ki 4 Rakat
(2 Sunnat Aur 2 Farz).
[2] Zohar Ki 12 Rakat
(4 Sunnat + 4 Farz + 2
Sunnat + 2 Nafil)
[3] Asar Ki 8 Rakat
(4 Sunnat + 4 Farz)
[4] Magrib Ki 7 Rakat
(3 Farz + 2 Sunnat + 2
Nafil)
[5] Isha Ki 17 Rakat
(4 Sunnat + 4 Farz + 2
Sunnat + 2 Nafil + 3 Vitr
+ 2 Nafil).
YA ALLAH !
Ham Sabko
Sahih Waqt Par Ba-
Jama’at Panzgana (5
Waqt Ki) Namaz Adaa
Karne Ki Taufeeq Ataa
Farma
*पाँच (5) वक़्त की नमाज़ो की मिसाल *
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017