Islamic Blog

PADOSIYO KE HUQOOQ
ALLAH TAALA  ne Quraan Majeed me Aur Us Ke Pyare Rasool ﷺ  Ne Ahadees Me Humsayo Aur Padosiyo ke bhi Kuch Huqooq Muqarrar Farmaye He Jin Ko Aada Karna Har Musalman Mard wa Aurat Ke Liye Laazim Wa Zaruri He Quraan mazeed Me He Ki
Tarzuma E Kanzul imaan
Qaribi Aur Door Wale Padosiyo Ke Sath Nek Sulook Aur Acha Bartaw Rakho (sureh Nisaa)
Aur Hadees Sharif Me Aaya He Ki Rasool ﷺ Ne Farmaya Ki Hazrate Jibrail Alahis salam Mujh ko Hamesha Padosiyo Ke Huqooq Ke Bare me Wasiyat Karte Rahe Yahan Tak Ki Mujhe Yeh Khyaal Hone Laga Ki Sayad An Qarib Padosi Ko Apne Padosi Ka Waris Thera dege
Ek Hadees Me Yeh Bhi He Ki Ek Din Huzoor ﷺ  Wazu Farma Rahe The Toh Sahaba E Kiram Radi Allaho Ta’ala Anhuma Aap Ke Wazu Ke Dhowan Ko Loot Loot Kar Apne Chero Par Malne Lage yeh Manzar Dhek Kar Aap Sallallaho Alaihi Wasallam ne Farmaya Ki Tum Log Esa Q karte Ho?
Sahaba Radi Allahu Ta’ala Anhuma ne Arz Kiya ki Hum Log ALLAH ke Rasool ﷺ Ki Muhabbat Ke Zazbe Me Yeh Kar Rahe He Yeh Sun Kar Aap ﷺ Ne irsad Farmaya Ki Jis Ko Yeh Baat Pasand Ho Ki wo ALLAH wa Rasool ﷺ se Muhanbat Kare Ya ALLAH wa Rasool ﷺ Us Se Muhabbat Kare Us Ko Lazeem he Ki Woh Hamesha Har Baat Me Sach Bole Aur Us Ko Jab Kisi Chiz Ka Amin Banaya Jaye Toh Woh Amanat ko Ada Kare Aur Apne Padosiyo Ke Sath Acha Sulook Kar.
Aur Rasool-Allah ﷺ Ne Farmaya Ki Woh Sakhs Kaamil Darze Ka Musalman Nahi Jo Khud Pet Bhar Kha le Aur Us ka Padosi Bhuka reh jaye 
Baher Haal Apne Padosiyo Ke Liye Mundarje Jel Baato Ka khayaal Rakhna Chahiye
1 Apne Padosi ke Dukh Sukh Me Hamesha Sharik Rahe Aur Ba Waqte Jarurat Un Ki Har kism Ki Imdad Karya Rahe
2 Apne Padosiyo Ki Khabargiri Aur Un Ki Kher Khwahi Aur Bhalayi Me Hamesha Laga Rahe
3 kuch Hadiyo Aur Tohfo Ka Bhi Len Den Rakhe Chuneche Hadees Sharif Me He Ki Jab Tum Shorba Pakao To Is me Kuch Jiyada Pani Dal Kar Shorbe Ko Badhao Taaki Tum Log Is Ke Jariye Apne Padosiyo Ki Khabar Giri Aur Un Ki Madad Kar Sako.
Source:http://www.diniraah.net/
Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm