Islamic Blog

Paint fold karke namaz padhna Makruh e tehrimi hai aur isse namaz wajib ul iyyadha hai yaani aapko namaz dauhrani padegi
Ab kuch log kehte hai , Takne dikhana sunnat hai toh log aksar kya karte hai ki paint fold karke namaz padhte hai.
Aur is taluq se ek hadees dikhate hai ki “ALLAH k rasul Swallallahualaihiwasallam ki hadees hai woh libas jahannam me hai jo takno k niche ho”
Toh me iski thodi tafseel batadeta hu,
Aur iski tafseel yeh hai , hadees me saaf aaya hai ki yaha us libas ka zikr hai jo takno k niche hai woh bataur e taqabbur ho yaani jisme taqabbur ki niyat se libas latkaya jaaye woh libas jahannam me hai,aur agar woh taqabbur me nahi toh libas jahannam me nahi.
Aur hum apni taraf se nahi kehrahe hai balki puri hadees badmazhab sunate nahi,inko jo accha lagta hai woh tukda uthate hai kisi kam ilm ya lailm ko sunadete hai aur apni taraf ma’eel karte hai.

Hadees :

حَدَّثَنَا آدَمُ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ أَبِي سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيُّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” مَا أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ مِنَ الإِزَارِ فَفِي النَّارِ “.
Tarjuma :
NABI swallallahualaihiwasallam ne farmaya jiska libas niche latke woh jahannam me.
Bukhari :: Book 72 :: Volume 7 :: Hadith 678
Ab aaye ek hadees aur dikhata hu jisse saabit hoga is hadees ka khulasa k yaha taqabbur ki wajah se woh libas jahannam me hai.
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ يُونُسَ، حَدَّثَنَا زُهَيْرٌ، حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ عُقْبَةَ، عَنْ سَالِمِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ أَبِيهِ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ خُيَلاَءَ لَمْ يَنْظُرِ اللَّهُ إِلَيْهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ “. قَالَ أَبُو بَكْرٍ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّ أَحَدَ شِقَّىْ إِزَارِي يَسْتَرْخِي، إِلاَّ أَنْ أَتَعَاهَدَ ذَلِكَ مِنْهُ. فَقَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ” لَسْتَ مِمَّنْ يَصْنَعُهُ خُيَلاَءَ “.
Tarjuma :
NABI swallallahualaihiwasallam ne farmaya jo libas taqabbur ki wajah se latkaye khuda uski taraf dekhega b nahi,is per Hazrat Abu Bakr siddique radiallataala anhu ne kaha ki mera libas niche latakta hai,NABI swallallahualaihiwasallam ne farmaya ki yeh tumhare liye nahi k tumhe taqabbur nahi.
Bukhari :: Book 72 :: Volume 7 :: Hadith 675

Hadees # 2

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ، أَخْبَرَنَا مَالِكٌ، عَنْ أَبِي الزِّنَادِ، عَنِ الأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ” لاَ يَنْظُرُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِلَى مَنْ جَرَّ إِزَارَهُ بَطَرًا “.
Tarjuma : “NABI swallallahualaihiwasallam ne farmaya jo libas taqabbur ki wajah se latkaye khuda uski taraf dekhega b nahi”

Bukhari :: Book 72 :: Volume 7 :: Hadith 679
Iska pasmanzar padhe ki jab shuru me log jab islam me dakhil hue us waqt unme bahut saare log gareeb the ,gurba pehle islam me aaye,toh unke paas libas tha nahi thik se ,baaz musalmaan ka yeh haal tha ki tehband pehna hai toh pait khula hai pait dhakne jaaye toh sharam gaah khul jaye aur woh b itne chote libas hote the ki takno se upar ghutno tak hote the woh ,gurbat ka yeh aalam tha, tab abu jahal ne yeh kiya ek bahut bada jhubba tayar kiya ,jisko 3-4 log uska jhubba pakad kar chalte the saath me ,
Abu jahal ne musalmano ko taana diya k aye musalmaano dekha tum jis rab ka qalma padhte ho us rab ne tumhe kya diya siwaye muflisi k gurbat k ?? aur dekho mere hubal ne mujhe kitna nawaza hai tab ALLAH k nabi swallallahualaihiwasallam ne farmaya jo libas taqabbur ki niyat se takno niche hai woh jahannami hai
Uske baraqs
Bukhari ki hadees hai.
NABI swallallahualaihiwasallam ne farmaya ki ALLAH taala ne mujhe 3 chizo ka hukum diya aur taqeed ki baar baar k A NABI aap in 3 chizon per sakhti per amal kare
1 hukum yeh mila ki jab me namaz ki halat me hu toh apne baalo se na kehlu
2 hukum yeh diya ki jab me sajda karu toh 7 chizon per sajda karu
a) 2 haath
b) 2 pair
c) 2 ghutne
d) 1 naak aur peshani (indono ko ek hi me shumar kiya gaya)
3 hukum yeh diya ki jab me namaz padhne aau aur namaz padhu toh kapdo ko na sametu

Ref:
Bukhari :: Book 1 :: Volume 12 :: Hadith 773
Bukhari :: Book 1 :: Volume 12 :: Hadith 774
Bukhari :: Book 1 :: Volume 12 :: Hadith 779
Bukhari :: Book 1 :: Volume 12 :: Hadith 780
Muslim :: Book 4 : Hadith 993
Muslim :: Book 4 : Hadith 994
Muslim :: Book 4 : Hadith 995

Toh jab aap kapde fold karte ho yaani aap kapde samatte ho toh aapki namaz na hui balke aapko namaz dauhraani hai

Ab me ek sawal karta hu ki pant fold karne walo se ki NABI swallallahualaihiwasallam ne hadees me aisa kab kaha ki ain namaz k waqt hi takno ko dikhao ya pant fold karke namaz padho ??
Gaur o fikr kare toh khud dusro ko tanqeed karne walo ka libas 24 ghanto me se sirf 5waqt namaz me hi takno se upar hai baaki waqt jahannam me latak raha hai.
Toh iska matlab yeh nahi k namaz k waqt hi aap takno se upar rakhe, mutalaqan hukum hai ki hamesha upar rakhe
Bilfarz jo shaks ka libas takno se niche hai aur takabbur nahi hai toh jayaz hai magar koi keemti libas takno se upar pahenta hai aur ghamand guroor ki niyat se toh aisa libas haram hai.
Asal masla yaha takabbur ko lekar hai ,Kapde ka bada chota hona nahi.
Ab yeh b padhe ki aap kapde takno se niche pahente hai aur takabbur b nahi toh aisa na samjhe ki aap ko sawab milega,isse aapko na sawab hai aur na gunah , gunah isliye nahi q k aapme taqabbur nahi.
Aur agar aap sunnat ki niyat se libas ko takno k upar pahente toh sawab miljayega.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm