Bismillahirrahmanirrahim
Part 12 – Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
( Ungliyo se pani ka nikalna aur khane ka tasbeeh padhna)
✦ Qatada Radhi allahu anhu ne Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat kiya ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein ek bartan hazir kiya gaya , aap us waqt ( madine ke kareeb) muqam Zawra mein they Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne us bartan mein haath rakha to Aapki ungliyon ke darmiyan se paani nikalne laga aur us paani se puri jamaat ne wudhu kar liya, Qatada Radhi allahu anhu ne Anas Radhi allahu anhu se pucha ki aap log us waqt kitni tadad mein they unhone kaha ki 300 ya 300 ke qareeb they.
Sahih Bukhari, Vol 5, 3572
✦ Jaber Radhi allahu anhu se ne kaha ki Suleh Hudaibiya ke moqe par logo ko pyaas lagi thi Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke samne pani ka ek chota sa matka (bartan) rakha hua tha Aapne logo se farmaya kya baat hai, logo ne kaha ki jo paani aapke samne hai us pani ke siwa na to hamare paas wudhu ke liye koi dusra pani hai aur na peene ke liye , Aap ne apna haath jaise hi us paani ke matke (bartan) mein dala , aapki ungliyon ke darmiyan se pani chashme (springs) ki tarah nikalne laga , hum sab logo ne us pani ko piya aur us se wudhu bhi kiya maine pucha ki aap log kitni tadad mein they kaha ki agar hum ek lakh bhi hote tab bhi wo pani kafi ho jata waise hamari tadad us waqt 1500 thi
Sahih Bukhari,Vol 5,3576
✦ Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke saath ek safar mein they aur pani taqreeban khatam ho gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo kuch bhi pani bach gaya hai usey talash karo , phir log ek bartan mein thoda sa pani laye , aapney apna haath bartan mein daal diya aur farmaya barkat wala pani le lo aur barkat to Allah subhanahu ki taraf se hoti hai maine dekha ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallamki ungliyon ke darmiyan se pani fawwarey ( fountain) ki tarah phoot raha tha aur hum Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein khate waqt khane ki tasbeeh bhi suna karte they.
Sahih Bukhari, Vol 5, 3579
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021