Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Part 4 – Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
(Shaan e Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam )

✦ Al Quran : Eh Imaan walon apni aawazien Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aawaz se unchi na karo aur jis tarah aapas mein ek dusre ko zor se bolte ho unke roobaru zor se na bola karo ki tumhare aamal zaya ho jaynege aur tumko khabar bhi na hogi.
Surah Al-Hujraat, (49), 2

✦ Al Quran : Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ko bulane ko aisa khayal na karna jaisa ki tum Aapas mein ek dusre ko bulate ho. Beshak ALLAH ko ye malum hai jo tum mein se aankh bacha kar chal dete hain to jo log unke hukm ki mukhalifat karte hain unko darna chahiye ki un par koi Aafat padh jaye ya takleef dene wala azab nazil ho
Surah An Noor (24) , 63

✦ Al Quran : Nabee (sallallahu alaihi wasallam ) momeeno par unki jaano se bhi Ziyada haq rakhtey hain aur Nabee ki Biwiyan unki (momeeno ki ) Maa hain
Surah Al-Ahzab, (33), 6

✦ AL Quran : Aur humne Aapko ( Aap sallallahu alaihi wasallam ko) tamam jahano ke liye rahmat bana kar bheja hai
Surah Al-Anbiya (21), 107

✦ Al Quran : (Oh Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) Aap farma djiye agar tum ALLAH se muhabbat rakhte ho to meri pairwi karo taaki Allah tumse muhabbat kare aur tumhare gunah bakhshe aur ALLAH bakhshne wala meharban hai
Surah Aal-e-imran (3) , 31

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)