HIQAYAT:-
**********
Hazrat Isa Alaihi Salam Ka Ek Roz Ek Pahaad Per Gujar Hua! Aapne Us Pahaad Per Ek Safaed Patther Dekha Jise Aapne Gaur Se Dekha Aur Uski Khubsurti Per Taajjub Ka Izhaar Farmaya! Khuda-Ta’aala Ne Farmaya, Aye Isa! Kya Tum Chahate Ho Ki Main Isse Bhi Taajjub Angez Ek Chiz Tumper Zaahir Karoon? Hazrat Isa Alaihi Salam Ne Arz Kiya, Haan! Ilahi Main Chahata Hoon!
Chunanche, Khuda Ke Hukm Se Wo Patther Fat Pada Aur Usme Se Ek Mubarak Shaks Nikla Jiske Hath May Ek Sar-Sabz Shaakh Thi Jiske Sath Angoor Lage Hue The! Hazrat Isa Alaihi Salam Se Us Shaks Ne Kaha, Aye ALLAH Ke Paighamber Yeh Angoor Meri Har Din Ki Rozi Hain! Main Is Patther May Har Waqt ALLAH Ki Ibadat May Laga Rehta Hoon!
Hazrat Isa Alaihi Salam Ne Pucha Ki Tum Is Patther May Kitni Muddat Se Masroof Ibadat Ho! Wo Bola Ki 400 Baras Se, Isper Isa Alaihi Salam Ne Janab-A-Ilahi May Gujarish Ki, Ki Ilahi! Yeh Shaks To Bada Khush Naseeb Hain Mere Khayaal Se Isse Badker To Koi Shaks Khush Naseeb Aur Afzal Na Hoga? Khuda-A-Ta’aala Ne Jawab Diya, Mere Aakhari Paighamber Hazrat Mohammad SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ki Ummat Mayse Jo Shaks Bhi Shabaan Ki 15wi Shab Ko 2 Rakat Namaz Padhega Wo Is Shaks Ki 400 Baras Ki Ibadat Se Bhi Zyada Azr Payega!
(Nujjahtul Majalis Jild-1, Pg-292)
********************************
SABAK:-
********
ALLAH-TA’AALA Ne Shabaan Sharif Ki 15wi Shab Ko Badi Fazilat Di Hain! Wo Shaks Bada Hi Khush Naseeb Hain Jo Is Raat Jaagker ALLAH Ki Ibadat Karke Apne ALLAH Ko Raazi Kerleta Hain! Bahoat Se Darje Pa Leta Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki ALLAH-TA’AALA Badi Qudrat Ka Maalik Hain Wo Chahe To Aadmi Ko Maa Ke Pet May Bhi Aur Patther Ke Ander Bhi Zinda Rakh Sakta Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Jo Khuda Ek Aadmi Ko Patther Ke Ander 400 Baras Zinda Rakh Sakta Hain Wahi Qaadir Tawana Khuda Apne Paighamber Hazrat Isa Alaihi Salam Ko Aasmaano Per Bulaker Sekdon Baras Zinda Rakh Sakta Hain! In Sab Baaton Se Inkaar ALLAH-TA’AALA Ki Wasi Qudraton Ka Inkaar Hain! Jo Musalman Ka Kaam Nahi!
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017