Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith: Peer (monday) aur jumairat (Thursday ) ko roza rakhna sunnat hai

✦ Hazrat Abu Qatada Ansari radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alalhi wasallam se pucha Peer ke din ( yani monday) ke roze ke bare mein (yani aap us din roza kyun rakhte ho) to Aap Sallalalahu alalhi wasallam ne farmaya ki main us din Paida hua tha aur us din mujh par wahi nazil huyee thi.
Sahih Muslim, Vol 3, 2747

✦ Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam peer (monday) aur jumairat (Thursday) ko khas taur se roza rakhte they
Jamia Tirmidhi , Vol 1, 723 – Hasan

✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya peer (monday) aur jumairat (Thursday ) ko bande ke aamal ALLAH ki baargah mein pesh kiye jate hain , aur mujhe ye pasand hai ki mere aamal jab ALLAH ki baargah mein pesh ho to main roze se hu
Jamia Tirmidhi , Vol 1, 725 – Hasan
————————————
✦ अबू क़तादा अंसारी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम से पीर (सोमवार) के दिन के रोज़ के बारे में पूछा तो आप अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया की मैं उस दिन पैदा हुआ था और उस दिन मुझ पर वही नज़िल हुई थी |
सही मुस्लिम, जिल्द 3 , हदीस 2747

✦ आईशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम पीर (सोमवार) और जुमेरात (गुरुवार) को खास तौर पर रोज़ा रखते थे |
जामे तिरमिज़ी , जिल्द 1, हदीस 723-हसन

✦ रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया पीर (सोमवार) और जुमेरात (गुरुवार) को बन्दे के आमाल अल्लाह की बारगाह में पेश किये जाते हैं और मुझे ये पसंद है की जब मेरे आमाल अल्लाह की बारगाह में पेश हों तो मैं रोज़े से हूँ |
जामे तिरमिज़ी , जिल्द 1, हदीस 725-हसन

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm