Hazrat Imran bin Haseen رضيالله تعالى عنه farmate hain Ki Allah عزوجل ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم ne ek shakhs ke hath me peetal ka kada dekh Kar irshad farmaya :-
Tujh par afsos hai yeh kya hai ??
Us shaks ne arz ki ke meine beemari ke ilaj ki wajah se pehna hua hai. Yeh sunkar aap صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya is se teri beemari me izafa hi hoga yani beemari aur badegi is ko utaar de kyunki agar tujhe is halat me mout aa gayi toh tu kabhi kamyab nahi hoga ..
(Ref. Musnad Imam Ahmed Bin Hambal)
👉Pyare islami bhai gaur karne ka maqam hai aaj ke is pur-fitan daur me aise kayi islami bhai hain jo hath me kadey bracelate pahne rahte hain.
Toh is hadees mubarak se ibrat lijiye ki agar isi haalat mein maut aa gayi to kamyabi nahi milegi.
Agar kamyabi nahi mili pyare islami bhaiyo to qabr me hashr me hamara kya banega ❓
❓
❓
Aur waise bhi ye gairo ka tareeqa hai. Hadees Pak ka mafhoom arz kar raha Hoon Ki Allah عزوجل ke rasool صلى الله عليه وسلم ne irshad farmaya ki jo jis qoum se mushabahat rakhega yani unki nakal karega to unka hashr unke hi sath hoga.
👉Ab hum gaur karein ke gair muslim ke sath kya sulook hona hai.
👉Toh jo bhi bhai aisa amal karte hain unki bargah mein hath jod kar madani iltija hai ki aaj hi is amal se tauba kar le kya pata kab mout aa jaye aur hum usi halat me mar jaye
💎Allahعزوجل humein amal ki taufeeq de …. Aameen
💎
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021