Islamic Blog

Muslim ke liye paaki adha imaan hai, isliye muslim ko bahut paak-saaf rahna chahiye, Allah paak-saaf rahne walo ko pasand karta hai, jab kabhi peshab (urinate) karne jaaye to in baato ko dhyan rakhe

1. Toilet mein ulta per se andar jaaye aur seedhe per se bahar aaye.
2. Toilet mein jaane se pehle yeh dua padhe (Alla humma inni aauzu bika minal khubusi wal khabais) aur jab bahar aa jaaye to kahe (gufra naka) phir yeh dua padhe (Alla humma azhab annil aza wa afaani) (in dua ke padhne se jinnat insan par haawi nahi ho paate, kyonki gande jinnat toilet jesi gandi jagah par rahte hain, is dua ke padhne se insan safe ho jaata hai)
3. Toilet mein bagher sir dhaake na jaaye (bagher sir dhaake toilet jaane se memory kam hoti hai
4. Toilet mein aise bethe ki Qibla (kaaba) ki taraf muh bhi na ho aur pith bhi na ho.
5. Khade hokar peshab na kare (kyonki peshab ke chhite aapke kapdo aur badan par lag sakte hain, agar insan ne khud ko peshab ke chhite se na bachaya to Allah us hisse ko jalayega jaha peshab laga tha (galti se lag jaaye to foran do le)
6. Jab peshab/pakhana kar chuko to apne peshab ke hisse ko acche se dho lo. Agar paani na ho to Mitti ya eit ka tukda bhi le sakte ho ya tisse paper.
7. Toilet mein jaane ke baad koi bhi quran ki surah ya dua na padhe, balki baat bhi na kare aur chup rahe.
8. Peshab ke hisse ko bila wajah na dekhe, isse memory kamzor hoti hai
9. Koshish karke peshab ke saare katre bahar gira de, kyonki agar yeh tumhari pant ke andar gir gaye to aapki pant napak ho jaayegi. aur aap us pant mein namaz nahi padh sakte.

Via :facebook

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm