Islamic Blog

Islam ke hisab se shaadi se pahle ka har rishta galat mana gaya hai. Kyonki shadi se pahle tak hamara ladki par koi hak nahi hota hai.

Isliye shadi se pahle kisi ladki se pyar ka izhar karna, usko pyar ya sex ki nazar se dekhna, usse dosti karne ki koshish karna, usko pareshan karna, usse (romantic) baat karna, sab galat hai, aur gunah ka kaam hai. Isliye aise kaam nahi karna chahiye. Allah Quran mein farmata hai ki “Apni nazre jhuka kar rakho” yaani parai aurato ko mat dekho.

Agar ladki bhi ladke se pyar karti hai to, ladki bhi gunah kar rahi hai, yaani ab ladka-ladki dono ko gunah hoga, isliye dono ka milna, baat karna, sex karna ye sab gunah hoga. Jiski saza Allah dega. Kyonki jab tak shadi nahi ho jaati dono ka ek dusre par koi hak nahi hai, aur islam ke hisab se ye haram kaam hai.

Isliye kisi ladke ko kisi ladki se shadi se pahle pyar/mohabbat nahi karna chahiye, phir bhi agar kisi ka dil par zor na rahe aur kisi se pyar ho jaye to ladke ko ladki ke ghar shadi ka rishta bhejna chahiye, taaki dono ki shadi ho sake, aur ladke ko uski mohabbat mil jaye. Agar ladki wale mana kar de, to us ladki ko dil se nikal dijiye, kyonki us par tumhara koi hak nahi hai.
Agar ladki wale ‘Ha’ kar dete hain to Rishta pakka ho jane ke baad bhi, jab tak shadi nahi ho jaati tab tak ladka-ladki ka milna, baat karna, sex karna sab gunah ka kaam hai, kyonki jab tak dono ki shadi nahi ho jaati tab tak dono ka ek dusre par koi hak nahi hai. Aur Islam ke hisab se ye gunah ka kaam hai.

Aajkal ki new generation ke muh se ye baat sunne ko milti hai, ki us ladke ya ladki se hum shadi kyo kare jisse hum pyar nahi karte, lekin ye dhyan rakhiye ki ye hamara nahi angrezo (western) culture hai, balki wo log to sirf pyar/sex hi karte hain, shadi unke yaha ka culture nahi. Bahut kam log shadi karte hain, shadki karne ke baad bhi kuch saal saath rahte hain phir dusre se shadi kar lete hain. Hamare yaha to pahle shadi hoti hai phir pyar hota hai, aur yahi islamic aur sahi tarika hai. Tajurba (experience) kahta hai ki is tarah ki shadi hi sabse zyada successful hoti hai. Pyar ke baad wali shadi zyadatar fail hoti dekhi gai hai. Kyonki jab ladka ya ladki pyar mein khud ko bahut accha present karte hain, lekin shadi ke baad saari hakikat saamne aa jaati hai.

Kuch log ye soch sakte hain ki shadi se pahle ladka-ladki agar mil le, baat kar le to ek dusre ko samajh lete hain. Lekin Islam mein shaadi se pahle akele mein baat karne ki ijazat nahi hai, lekin shadi se pahle ladka-ladki ek dusre ko dekh le aur jab dono ek dusre ko pasand kar le tabhi shadi ho.

Jab ladka-ladki ki shadi ho jaati hai to ab dono ka ek dusre par hak ho jata hai, ab dono ek-dusre ko khoob pyar kar sakte hain. Shadi se pahle ladk-ladka ka baat karna, milna sab gunah tha lekin shadi ke baad yahi kaam sawab ban jata hai, jab miya-biwi saath mein khuhsi-khushi rahte hain to Allah bhi khush hota hai. Aur Allah ka hukm hai ki miya-biwi saath mein acche se rahe. Aur ek dusre ko pyar kare.

Iska bhi dhyan rakhe ki Quran mein Allah farmata hai – paak daaman aurate, paak daaman mardo ke liye hain
(is ayat se ye samajh mei aya ki shadi se pahle agar hum khud ko is tarah ke gunaho se bacha kar rakhege to humko biwi bhi paak daaman milegi aur agar shadi se pahle hum gunah karte phire to ho sakta hai ki humko bhi aisi hi biwi mile)

Allah humko islam ke hisab se chalne ki tofik ata kare aur aajkal ke zamane ki nai-nai, jhooti aur galat baato se bachaye. Aur duniya mein aane ka maksad (aim) dhyan rakhe ki Allah ne humko sirf apni ibadar karne ke liye duniya mein bheja hai. Aur humko zor dekar wahi kaam kara hai.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm