Islamic Blog

Baghdaad ke haakim ibraheem bin ishaaq ne ek raat khwaab mein Huzur-e-Akram (sallallaahu alaihi wasallam) ko dekha, Huzur (alahis-salaam) ne us se farmaya

“Qaatil ko riha kar do”

Ye hukm sun kar haakim-e-baghdaad kaampta hua utha aur apne amla se poocha ki

“kya koi aisa mujrim bhi hai jis par Qatl ka ilzaam hai?”

pata chala ki aisa ek mujrim hai.

Hakim-e-baghdaad ne kaha

“usey mere paas lao”

Us mujrim ko haakim ke paas laaya gaya,

Hakim-e-baghdaad ne us se kaha

“sach sach batao ki kya waaqeya hai?”

Us ne kaha “baat ye huyi ki ham kuch aadmi mil kar badmaashi aur aiyyaashi kiya karte thy,

Ek buddhi aurat ko ham ne is kaam par laga rakha tha, jo har raat kisi bahaane se koi na koi aurat le aati thi.

Ek raat wo ek aisi aurat ko laayi jis ne meri duniya mein inqelaab laa diya,

Baat ye huyi ki jab wo aurat hamare saamne aayi to cheekh maar kar Behosh ho ke gir gayi,

Maine usey utha kar ek dusre kamre mein laa kar usey hosh mein laane ki koshish ki, aur jab wo hosh mein aa gayi to maine us se cheekhne aur behosh hone ki wajah poochi.

Wo boli “Aye Naujawan ! Mere haq mein Allah se dar.

Fir kehti hu ki Allah se dar,

Ye budhiya to mujhe dhoke se is jagah le aayi hai,

Dekh, main ek shareef aurat hu aur Saiyyad hu,

mere Nana Rasoolallaah Sallallaahu Alaihi Wasallam hain aur meri Maa Fatima Zahra hain,

Khabardaar… is nisbat ka lehaaz rakhna aur buri nazar se na dekhna”

Maine jab us paak aurat se jo ki Saiyyedah thi, ye baat suni to kaamp gaya aur apne dosto ke paas aa kar unhe saari baat batayi, aur kaha ki
“agar aakhirat ki khair chahte ho to us khatoon ki Be-adbi na hone paaye”

Mere doston ne meri baat se ye samjha ki shayad main unko hata kar khud akela hi gunah karna chahta hu aur un se dhoka kar raha hu,

is khayaal se wo log mujhse ladne par taiyaar ho gaye,

Maine kaha “main tum logo ko kisi haal mein is amr ki ijaazat nahi dunga,
Ladunga,
Mar jaunga,
Magar us Saiyyedah ki taraf bad-nigaahi manzoor na karunga”

Bas wo mujh par jhapat pade aur mujhe unke hamle se ek zakhm bhi aa gaya,

isi dauraan, ek shakhs jo us Saiyyedah ke kamre ki taraf jana chahta tha, mere rokne par mujh par hamla-aawar hua, to maine us par churi se hamla kar diya, aur usey maar daala,

Fir us Saiyyedah ko apni hifazat mein le kar bahar nikla to shor mach gaya,

Churi mere haath mein thi,
Main pakda gaya,
Aur aap ke saamne hu”

Hakim-e-baghdaad ne kaha

“Jaao ! Tumhe Rasoolallaah Sallallaahu Alaihi Wasallam ke Hukm se Riha kiya jaata hai”

(Hujjatullaah Alal-aalameen)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)