Islamic Blog

Aah Kasrate Ishyaa Haaye, Khowf Dozakh ka,
Kaash, Is Jahaan Kaa Mein Naa Basar Banaa Hota.™


Nabi E Paak {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} Ne Farmaya:
Qabr Aakhirat Ki sab se Pahali Manzil Hai, Agar Sahibe Qabr Ne Is Se Najaat Paai To Baad Ka Mua’malaa Is se Asan Hai, Aur Agar Is Se Najat Naa Paai To Baad Ka Mua’Malaa Ziyadaa Sakht Hai.
[ SUNAN IBNE MAJA JILD:4 SAFA:500 Bairut ]

Qabr ka Manzar Sab Manaazir Se Zyada Holnaak Hai.
[ SUNAN TIRMIZI JILD:4 SAFA:138 HADEES:2315 Bairut ]

Qabr Ki Daant:
Qabr Murde se Kehti hai, Ki Aye Aadami Kya tune Mere Halaat Naa Sune The? Kya Meri Tangi, Badboo Howlnaaki Aur Kidon Se Tuze Nahi Daraayaa Gayaa Tha? Agar Aisa Tha To Fir Tu Ne Kya Taiyaari Ki?
[ SARHUS SUDUR SAFA:118 119 Darul Ma’refa ]

QABR KYA KAHTI HAI?:
Ay Ibne Aadam! Tu Mere Andar Tawil Arse Tak Apne Galne Sadne Ko Kyu Yaad Nahi Krta?

Hazrate Sayyiduna Ahmed Bin Harb(rahmatullahi t’aala alayh) Farmate Hai: Zamin Ko Us Shakhs Par T’ajjub Hota Hai Jo Apni Khwaab gaah Ko Durust Krta Aur Sone Ke Liye Narm Narm Bistar Bichhata Hai, Zamin Us Se Kahti Hai, Ay Ibne Aadam! Tu Mere Andar Tawil Arse Tak Apne Galne Sadne Ko Kyu Yaad Nahi Krta ? Yaad Rakh! Mere Aur Tere Darmiyaan Koi Chiz Haail Nahi Hogi (Yaa’ni Tujhe Zamin Par Bigair Gadele Hi Ke Rakh Diya Jaega)
[ Detail In EHYAUL ULOOM Jild-4 Page-413 ]

Jab Banda Qabr Me Dakhil Hota Hy To Usko Drane Vo Tamam Chize Aa Jati Hy Jinse Vo Dunya Me Darta Tha Aur ALLAH Se N Darta Tha.
[ SHARHUS SUDUR Page No-11 ]

Hazrat Umar Farooq E Azam Radiallahu Tala’Anhu KHAWF E KHUDAA Azzwajal se Larza w tarsa Raha Karte The. Ek Baar Galabaa e Khawf Ke Waqt Aap Ne Tinka Haath me le Kar Farmaya, Kaas Me Yeh Tinka Hota, Kabhi Kaha, Kaas Muze Paida Hi Na Kiya Jata; Kabhi Kehte, Kaas MERI MAA HI MUZE NAA JANTI.
[ AHYAUL ULOOM JILD:4 SAFA:156 Bairut ]

Hazur {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} Ne Farmaya:
Murdon ka haal QABR me dubte hue inshaan ki maanind hai ke woh siddat se intzaar karta hai ke baap ya maa ya bhai ya kisi dost ki dua usko pahunche aur jab kisi ki dua use pahunchti hai to uske nazdik woh dunia wa mafihaa se behtar hoti hai, ALLAH AZZWAJAL qabr walon ko unke ZINDAA mut’alikin ki taraf se HADEEYA kiya hua SAWAAB pahadon ki maanind ataa farmata hai, ZINDON ka hadeeya (tohfa) Murdon ke liye ‘DUA E MAGFIRAT’ katna hai.
[ Baihaki SOEBUL-IMAAN JILD:6 SAFA:203 HADEES:7905 ]

TARGIB:
Vaakei Qabr Ka Muaamla Be Khauf Hone Wala Nahi, Aaj Hum Par Chhupkli Chdh Jae, Balke Kan Khjura Karib Hi Se Guzar Jae To Badan Par Kapkapi Taari Ho Jae Aur Muh Se Chikh Nikal Jae To Andheri Qabr Me Kya Hoga! ke Aqal Bilkul Salaamat Hogi Balke Yoo Samajhna Chahiye Ki Goya Zinda Hi Kisi Ne Qabr Me Gaad Dala Hai Ab N Jaan Niklti Hai N Hi Be Hoshi Taari Hoti Hai,

Haae! Haae! gunaaho Ki Vajah Se Agar Khuda V Mustafa (Azza V Jallah) v (Sallalahu Alaihi Wasallam) Naaraz Ho Gae To Qabr Ke Tang Garhe Me Aakr Kaun Bchaaega Kaun Tsalli Dega?

KAR LE TAUBA RAB KI RAHMAT HAI BADI,, QABR ME VARNA SAZA HOGI KADI.

HUM NE KYA TAIYAARI KEE ?:
Hum Dusro Ko Qabr Me Utarte Hue Dekhte Hy Magar Ye Bhul Jate Hy Ki Ek Din Hme Bhi Qabr Me Utara Jaega.

Apni Aulaad Ko Nek Ashiqerasul Saccha Sunni Musalmaan Banaiyen. Woh In Sha Allah Dua/Isalesawaab Karenge To Aapko Qabr Me Raahat Milti Rahegi. (Wahabi- Margayaa Mardud Na Fateha Na Darood.)

HADIS:
Meri ummat gunah samet QABR me dakhil hogi & jab niklegi to BE-GUNAH hogi kyu k wo muaminin ki DUAON se bakhs di jati he
[ TABRANI AWSAT J:1 S:509 H:1879 ]

Qabr par Phool Daalna Behtar Hai Ke Jab Tak Rahega Tasbih karega aur Maiyat Ka Dil Behlaega.
[ RADDUL-MUHTAR JILD:3 SAFA:184 ]

Aah Kasrate Ishyaa Haaye, Khowf Dozakh ka,
Kaash, Is Jahaan Kaa Mein Naa Basar Banaa Hota.™

║Fo® More: Book-Murde Ke Sadme ♥ Dawate Islami ║

♥”~~~”Raat Ki Chadar Ko Kafan SamJh Ke Soya Kar,,,
Na JaaneY Subha Ka Aaghaaz Kis Andaaz Main Ho”~~~”♥

 Source:http://www.fikreummat.net/
As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm