Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Hazrat Hasan Basri Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ek Bar Janaze Ki Namaz Padhane Lage, Jab Log Dafn Se Farig Hogaye! Qabr Durusth Ker Chuke To Aap Us Qabr Per Baitker Bahoat Roye! Fir Aapne Haazireen Se Farmaya, Ki Aye Logon! Suno Awwal Aur Aakhir Qabr Hain! Duniya Ke Aakhir Qabr Hain, Aakhirat Ke Awwal Qabr Hain! Fir Tum Aise Aalam Se Kyon Nahi Darte? Jiske Awwal Qabr Hain, Jab Awwal Wa Aakhir Tumahra Yeh Hain, To Aye Gafilon! Awwal Wa Aakhir Ko Durusth Kerlo! Aapke Is Vaaz Se Log Bahoat Mutassir Hue, Sab Rone Lage!

(Tazkiratul Auliya Pg-35)

********************************
SABAK:-
********
Insaan Ko Chahiye Ki Manzil Qabr Ko Har Waqt Yaad Rakhe Aur Aise Kaam Karen Jinki Badaulat Use Qabr May Aaraam Mile!
Yeh Bhi Malum Hua Ki ALLAH Wale Qabristan May Jate Hain To Ibrat Haasil Karte Hain! Wahan Pahuchker Duniya Ki Baatain Nahi Shuru Kerdete! Jaise Ki Aajkal Ka Haal Hain Ki Janaza Padhne Gaye, To Qabristan May Pahuchker Bhi Mandiyon Ke Bhaau Puchte Jate Hain!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm