Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya Alaihir-Rehmaan Ka Aqida:-
(Inteqaal 725 Hijri)
*****************************************
Sultanul Mashayik Farmate Hain Ki Main Ek Martaba Shaikhul-Islam Hazrat Kuthbuddin Bakhtiyar Kaki Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ke Mubarak Mazaar Ki Ziyarat Keliye Gaya! Mere Dil May Khayaal Guzra Ki Itne Zyada Log In Bujurgon Ki Ziyarat Keliye Aate Hain Unke Aane Ki In Bujurgon Ko Khaber Hoti Hain Ya Nahi? Mere Dil May Yeh Khayaal Guzra Hi Tha Aur Main Roza-A-Mubarak Ke Karib Muraakabe (Khuda Ke Zikr) May Mashgul Tha Ki Maine Roza-A-Mubarak Se Yeh Sher Suna-
Tarjuma:
*********
Mujhko Apni Tarah Zinda Samjho! Main Jaan Ke Sath Aata Hoon Agar Tum Jism Ke Sath Aate Ho!
(Siyarul Auliya Pg-117)
*********************************
Aap Hazrat Khwaja Amir Khurd Kirmani Nizami Musannif (Writer) Siyarul Auliya Farmate Hain Ki Jis Zamane May Sultanul Mashayik Hazrat Mehboob-A-Ilahi Nizamuddin Auliya Rehmatullah Ta’aala Alaihi Gyaaspur May Rehte The! Maulana Fasihuddin Aur Kazi Moiuddin Kashani Aapki Khidmat May Gyaaspur Haazir Hue! Kadam-Bosi Ki Neki Haasil Karne Ke Baad In Dono Ne Baith (Mureed) Hone Keliye Arz Kiya! Aapne Fauran Hi Kazi Moiuddin Kashani Ko Mureed Kerliya Aur Maulana Fasihuddin Se Farmaya Ki Main Tumahre Mutaallik Shaikh Gunj Shaker Se Puchunga! Yeh Sunker Maulana Fasihuddin Ko Badi Hairat Hui Aur Wo Sochne Lage Ki Shaikh Gunj Shaker To Inteqaal Pa Chuke Hain, Sultanul Mashayik Unse Kaise Puchege? Yeh Baat Unke Dil May Guzri Lekin Unohne Jabaan Se Kuch Nahi Kaha Aur Kadam-Bosi Ke Baad Laut Aaye!
Jab Wo Dusri Martaba Mehboob-A-Ilahi Se Mile To Mehboob-A-Ilahi Ne Unse Farmaya Ki Maine Tumahre Mutaallik Shaikh Gunj Shaker Se Arz Kiya, Aapne Kubul Farma Liya Hain! Ab Tum Baith (Mureed) Hosakte Ho! Chunanche, Wo Mehboob-A-Ilahi Se Mureed Hogaye! Jab Wo Baith Ker Chuke To Maulana Fasihuddin Ne Arz Kiya Ki Mere Makhdoom! Shaikh Gunj Shaker To Inteqaal Pa Chuke Hain, Aapne Kis Se Pucha Hain? Farmaya, Jab Mujhe Kisi Baat May Hichkichahat Hoti Hain To Main Shaikh Gunj Shaker Hi Se Puchta Hoon Aur Aapke Hukm Ke Mutabiq Kaam Karta Hoon!
(Siyarul Auliya, Pg-452)
*********************************
TASHRIH:-
*********
Mehboob-A-Ilahi Nizamuddin Auliya Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ke Is Farmaan Se Ki Maine Roza-A-Mubarak Se Faarsi Ka Ek Sher Suna! Aur Is Farmaan Se Ki Jab Mujhe Kisi Baat May Hichkichahat Hoti Hain To Main Shaikh Gunj Shaker Hi Se Puchta Hoon! Saaf Jaahir Hain Ki Aapka Bhi Yeh Aqida Hain Ki ALLAH Ke Wali Inteqaal Ke Baad Apni Qabron May Zinda Hain! Aur Pehle Wakiye Se Aapka Yeh Aqida Bhi Saabit Hua Ki Bujurgaan-A-Deen Qabron May Rehte Hue Duniya Walon Ke Dilon Ke Khayalaat Se Bhi Waqif Hojate Hain!
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017