Islamic Blog

Aaj kal Buzurgane Deen ke mazaraat par unke urson ke naam par khub mauj mastiyan ho rahi hai
Aur apni Rang Rangeliyon, Baazo, Tamasho Auraton ki ched chaad ke maze uthane ke liye ALLAH Walo ke Mazaron ko istemal kiya jaa Raha hai
Aur aise Logon ko na ALLAH T’AALA ka khauf hai na Maut ki fiqr aur na Jahannam ka Darr

Mazhab e Islam me
Dhol Baaze aur Mazamir humesha se haraam Rahe hain,
Huzur Nabi e Pak Alaihissalatu wassalam ne irshad farmaya”
Jarur meri ummat me se aise log hone wale hai Joh Zina, Reshami kapdo, sharaab aur Baazon Taashon ko halal Thaherayenge”
📗(Sahi Bukhari)

Dusri Hadees e Pak me Huzur Nabi e Pak Alaihissalatu wassalam ne Qayamat ki Nishaniyan Bayan Karte Huwe farmaya”
Qayamat ke kareeb Naachne Gaane Waliyon aur Baazon Taashon ki kasrat ho jayegi
📘(Tirmizi,Miskaat)

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
Mujhy Dhool aur Bansari Torney ka hukm dia gaya hai.”
📗(Firdoos Al-Akhbaar, 📑Hadees:483)

📌AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya jo shaks gana suney ga tou qayamat k din es k kaano main pighla hua seesa daala jai ga.”
📘(Kanzul Aamal,
📑Hadees:40226)

📍AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
“2 Awaazon Par
Duniya aur Akhrat me Lannat hai,
(1)Neimat k waqt Bajaa (2)Museebat k waqt chilana.”
📙(Kanzul Aamal,
📑Hadees:40654)

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
“Gaana dil main nafaq es terhan ugata hai jeisey sabzey ko paani.”
📒(Firdoos Al-Akhbaar, 📑Hadees:4204)

📌Fatawa e Alamgiri
Joh ab se kareeb 350 saal pahele Hazrat muhiyuddin aurangzeb alamgiri rehmatullah taala alai ke huqm se us daur ke takreeban sabhi mustanad wa moatbar ulamaye kiraam ne jama hokar murattab farmayi joh arbi zubaan mai takreeban 3000 safhat aur 6 zildon par faila huwa ek azim islami encyclopedia hai usmai likkha hai”
Sima, Qawwali aur Raks(naach kud) joh aaj kal ke naam nihad sufiyon mai raiz hai yeh haraam hai ismai shirkat jaez nahi
📔(Fatawa Alamgiri)

Aala Hazrat
Muhaddis e Barelwi Rehmatullah Taala Alai ka fatawa
Arab wa Ajam me Maana ja Raha hai
Unhone Mazamir ke saath Qawwaliyon ko apni kitabon mai kai jagah haraam likkha hai,
Kuch log kahete hai mazamir ke saath Qawwali chistiya silsile me raiz aur jaez hai, yeh buzurgane chistiya par unka khula bohtaan hai balki un buzurgo ne bhi mazamir ke saath qawwali sun ne ko haraam farmaya hai, Sayidna Mehboob e ILAHI Nizamuddin Dehlvi Rehmatullah taala alai ne apne khaas khalifa Sayidna Fakhruddin zardari se mas’ala e qawwali ke mutalliq ek risala likhwaya jiska naam (“qashful qina’a an usulis’sima’a”) hai

📌ismai saaf taur par likkha hai, Humare buzurgon ka sima’a is Mazamir ke bohtan se bari hai(unka sima’a toh yeh hai) sirf qawwal ki awaz ashaar ke saath ho joh qalam san’ate ilahi ki khabar dete hai

Qutbul Aktaab Sayidna Fareduddin ganj shakkar rematullahi taala alai ke mureed aur Sayidna Mehboob e ILAHI Nizamuddin Awlia Dehlvi Rehmatullahi taala alai ke Khalifa Sayidna Muhammed bin Mubarak Alwi Qirmani Rehmatullahi taala alai apni mashoor kitab”📔(Sairul Awliya)” mai tehreer farmate hai: Mehboob e ILAHI Khwaja Nizamuddin Dehlvi Alaihirrehmatu warridwan ne farmaya ki chand sharait ke saath simah halal hai

1) Sun ne wala mard kamil ho chota baccha aur aurat na ho,
2) Sun ne wala yaad e KHUDA se gafil naho,
3) Joh qalam padha jaye, fahash, behayaai aur mashkhargi na ho,
4) Aalae simah yani sarangi mazamir wa rubab se paak ho, “(Sirul Awliya)

📌Musalman jara socho yeh Hazrat Khwaja Nizamuddin Awliya Dehlwi RadiAllahu Taala Anhu Ka Fatawa hai joh aapne upar padha in aqwal ke hote huwe koi keh sakta hai ki khandan e chistiya mai mazamir ke saath qawwali jaez hai

📍Haan yeh baat wohi kahenge joh na chisti hai na qadri unhe toh mazedariyan aur lutf andoziya chahiye is post ko padhkar humare islami bhai bura na maane balki thande dil se sochen apni aur apne bhaiyon ki islah ki koshish karen aur qawwali mazamir aise gunah ke kamo se bachen aur apne bhaiyon ko bhi bachayen🔆🌹

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm