Islamic Blog

1-Ramzan k maheene me jo farz roze kisi bhi wajah se nahi rakh pai to us roze ki qaza next year k ramzan se pehle kisi bhi din ada kiye ja sakte hai.
Hazrat Aysha r.a. kehti hai” mujh per ramzan k roze baqi rehte or main qaza roze shaban se pehle rakhne ka mauqa na pati” Sahi bukhri wo muslim.

2- Farz rozon ki qaza mutfariq(discontinuous) tour per ya lagatar(continuous) dono tarah jayez hai.
Hazrat Aysha r.a. farmati hai” Rozo k bare main pehle yeh ayet nazil hui k qaza roze (ramzan k elawa) dosre dino me musalsal (continuous) rakhe jai, lekin baad me musalsal roze rakhne ka hukum khatam ho gaya”
Hadees sahi rawa Darkutni.
ager kis k 2, 5, 15, 20 etc. aise kitne bhi ramzan k roze reh jai to us ki qaza chahe to lagata rakhe chahe jab rakhna available ho us waqt rakhe per agle ramzan se pehle rakhna shart hai.

3-Marne wale ke Qaza roze us k waris ko rakhne chahiye.
Hazrat Aysha r.a. ne kaha rasool Allah s.a.w.s. ne farmaya” Jo shaks mar jai or is per farz roze rakhne baqi ho to is ka waris(is ki taraf se) qaza roze rakhe” Sahi bukhari wo muslim.
wazahat: kisi shaks k roze ki qaza baki ho or woh marne wala ho ya bemar ho to apne ayal ya waris us k ooper jo bhi qarze ya kuch hisab kitab wasiyat batate hai usi saath qaza roze ki gintti bata k rakhe k marne k baad us k bachcho ko apne baap k qaza roze jo reh jai use rakhne pade ge aise hi koi ramzan k maheene me bimaar ho jai or bimari itni badi k woh mar gaya to us k bachcho ko chaiye k us k bache roze ki qaza rakhe.

4- Nafli roze ki Qaza ada karni wajib nahi.
Hazrat Umme Hani r.a. kehti hai Fateh Makka k roz Hazrat fatima r.a. Rasool Allah s.a.w.s. k bai(left) taraf aa kar baithi or main(yani umme hani r.a.) aap k dai(right) taraf, itne me ek laundi bartan le kar aai, jis me peene ki koi cheez thi laundi me woh bartan rasool s.a.w.s. ko diya aap ne is bartan se piya fir woh bartan mujeh diya , main ne bhi ise piya or kaha” Ya rasool Allah mera roza tha’ main ne (aap s.a.w.s. ka jhoota peene k liye) roza tod diya” aap s.a.w.s ne poocha “kiya tum ne qaza roza rakha tha? main ne arz kiya nahi” aap s.a.w.s. ne irshad farmaya” ager (aise hi) nafli roza tha to koi harj ki baat nahi” Hadees Sahi Abu dawood-2145,
ager kisi ne nafli roza rakha hai or us ko yeh roza tod de ya kisi wajah se toot jai to us roza ki qaza rakhan zaroori nahi.

5-Ager kisi ne badal ki wajah se roza waqt se pehle iftaar kar liya baad me yaqeen ho gaya k suraj groob(sun set) nahi hua tha is soorat me qaza wajib ho gi isi tarah sehri k waqt khana kha liya or baad me yaqeen ho gaya k subha sadik ho chuki thi sehri khatam waqt k baad sehri khai thy to is soorat me bhi qaza wajib ho gi per koi kuffara nahi.

Hazrat Asma bint abi bakar r.a. kehti hai rasool s.a.w.s. k zamane me ek roz hum ne badal ki wajah se roza iftaar kar liya baad me suraj nikal aaya,(hadees k rawi usama kehte hai) me ne hashaam(dosra rawi) se pocha ” kiya logon ko is wajah se qaza ka hukum diya gaya tha? hasham ne jawab diya” qaza k bagair koi chara he?”Hadees sahi suna Ibne maja Hadees sahi.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)