Islamic Blog

QAZAA NAMAAZO KI ADAAYGI KA AASAAN TAREEQA

✒Har Musalman Par khwah wo Mard Ho ya Aurat”BAALIG” Hote Hi Namaaz Farz Hai_______

★ Agar koi Shakhs “BAALIG” Hone ke kayi Saal Baad Namaazi Huwaa To Us ke Darmiyaan ki Namaaze jo Qazaa Ho Chuki Hai Uska Adaa karna Farz Hai
🏁____MASALAN_____🏁
●●► Abdullah 14 Baras ( Saal ) ki Umar Me “BAALIG” Huwa Aur jab uski Umar 20 Saal ki Huwi To wo Namaazi Huwa To Usko 6 Baras ( Saal )ki Qaza Namaaz Padhni Hogi…
●●━━━◆◐━━━━◑◆━━━●●
★ ___MAS’AAL___ ★
✏ jis Mard ko Aapne BAALIG Hone ki Taareekh (Date) Aur saal (Year) Yad Na Ho Wo Aapne BAALIG Hone ki Muddat 12 Baras (Saal) ki Umar karar De______

★ ___MAS’AALA___ ★
jis Aurat ko Aapne BAALIG hone ki Tareekh Aur Saal Yaad Na Ho wo Aapne BAALIG Hone ki Muddat 9 Baras (Saal) ki Umar karaar De

Aur saath Hi Me Har Maah se “HAIZ” ke Din Aur “NIFAS” ke Din Bhi
kam kar Le kyu ki in Dino Me Namazo ki Qaza Aurato Par Lazim Nahi.

●●► Har Aadmi jis ke Zimme Qaza Namaaze Ho Un Par Laazim Hai ki jald se jald Adaa kare Na Malum kis waqt Maut Aa jaye
●●━━━◆◐━━━━◑◆━━━●●
QAZA NAMAAZE EK DIN KI 20 RAKAAT HOTI HAI
____JAYSE____
●►FAJAR ► 2-FARZ
●►ZOHAR ► 4-FARZ
●►ASAR ► 4-FARZ
●►MAGRIB ► 3-FARZ
●►ISHA ► 4-FARZ
●►ISHA ► 3-WITR
●●━━━◆◐━━━━◑◆━━━●●
In Namazo ko siwaye
☞Suraj Nikalte Waqt
☞Suraj Doobte Waqt
☞Zawaal ke waqt

◉in Waqto Me Sajda Haraam Hai ◉

❖in Makrooh Waqto k Alaawa Qaza Namaaz Har Waqt Adaa kar Sakta Hai ❖

●●►Aur Ikhtiyar Hai ki Pahele Fajar ki Sab Namaze Adaa kare
Fir zohar–Fir Asar–Fir Magrib–Fir isha
Ya
●●►Sab Namaaze sath sath Adaa karta jaaye
Aur inka Aysa Hisaab Lagaay ki Baaqi Naa Rah jaaye______
Ziyada Ho jaaye To Harj Nahi

QAZAA NAMAAZO KI NIYYAT🔻

Jab Qaza Namaz ko Adaa ke liye khada Ho us waqt Uski Niyyat karni Zaroori Hai______
____MASALAN____
◉☞FAJAR ki Niyyat Yu kare
●●►’Mene Sab Me Paheli Fajar Padhne ki Niyyat ki jo Mujse QAZA Huyi
Allah Ta’aala ke Liye Muh Mera kaaba Shareef ki Taraf ALLAHU AKBAR’●

◉☞Isi Tarah Zohar-Asar-Magrib-Isha-witr-ki Niyyat kare

✔ JIN LOGO KE ZIMME QAZA NAMAZEN BAHOT ZYAADA HO UNKE
LIYE AASANI SE ADAA KARNE KI -4-SURATE HAI________
TAKI WO ASANI KE SAATH QAZA NAMAZEN ADAA KAR SAKE

1:- AWWAL..
FARZ ki Teesri Aur chawthi Raka’aat Me
“AL HAMDU” ki jagah sirf 3 Baar “SUBHAAN ALLAH” keh kar Ruku Me chale jaye
●●►Ye Kami sirf Farz ki Teesri Aur chawthi Raka’aat ke Liye Hai____
●●►WITR ki Teeno Raka’aato Me “AL HAMDU” Aur “SURAT” Dono zaroor Padhi jaye

2:-DOWAM
RUKU Aur SAJDE ki TASBEEH Me Sirf EK EK Baar
“SUBHAN RABBIYAL AZIM”
Aur
“SUBHAN RABBIYAL AA’AALA”
kahe

3:-SOWAM
Namaze Fajar Me “ATTAHIYYAT”
◉☞Aur Yuhi Zohar-Asar-Magrib-Isha-witr-Me Doosri “ATTAHIYYAT” ke Baad “DAROOD SHAREEF” Aur
“DUWA E MASURA” ki jagah sirf Ye “Darood shareef” padhe
☞”ALLA HUMMA SALLE ALA MUHAMMADIW-WA AALIHI”
Padh kar SALAM Fer de

4:-CHAHARUM
Namaze WITR ki Tisri Raka’aat Me “DUWA E QUNUT” ki jagah 3 Baar Ya Ek Baar
◉☞”RABBIGFIRLI” kahe

(FATAWA RIZWIYYA–JILD-3-SAFA–621-622
❖AL MALFUZ-JILD-1-SAFA-60-61)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm