Dosto- MAKKAH – Poore deen e Arab ka Markaz Tha
Yaha – khana e *KABA* ke paasban the – Aur – BUTO ke Nigehban bhi
Aur us waqt waha per – Jihalat aur Shirk ka bol bala Tha
isi wajha se- shuru shuru me Log – chup chupa ker Musalman Hue the
Aur – RASOOL ULLAH sallal Laho alaihe wasallam bhi -chup chupa ker hi – unki Rahnumai aur Deeni Taleem ke Liye- unke sath Jama Hote the
Aur – isi – daur me – QURAAN ki choti choti Aayate – poore Tasalsul aur garam Raftar se – Naazil Ho Rahi thi
in Aayato me – Zabardast Andaze BAYAN – aur Dil ki Tasalli Bakhsh ‘KALAAM’ Tha
in Aayato me – Tazkiya e Nafs ki khoobiya – aur Fani duniya ki Haqiqat Bayan hoti
Jannat aur Jahannam ka Naksha -is Tarha khincha Jata tha – goya wo Aankho ke samne hai
Ye – Aayate Ahle Eeman ko – bilkul Alag ek doosri Fiza ki Sair karati thi
Ye QURAAN ki – Sadaye HAQ Thi – Jo seedha DIL per Asar karti thi
Jisse ki Log – khinche Hue – islam me Dakhil Hote chale gaye – Aur – Aaj bhi Dunia me ye silsila Jaari hai
**SUBHAN ALLAH **
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017