Islamic Blog

Waqia Qurbaani Kya Hai? ..
Hiqayat :
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Ek Raat Khwab
Me Dekha Ki Koi Shakhs Gaib Se Aawaz Deta Hai
Kehta Hai Ki,
Aye Ibrahim!
Tumhe Khuda Ka Huqm Hai Ki Apne Bete Ko Raah-
e-Khuda Me Zibaah
Kardo
Chunki, Nabiyon Ka Khwaab Saccha Aur
WAHI Ki Qism Se Hota Hai Isliye Aap
Apne Mehboob Bete Hazrat Ismail (Alaihay
Salam) Ko Allah Taala Ki Raah Me Qurbaan
Karne Ko Taiyyar Ho
Gaye.
Chunki,
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Abhi
Kam-Umr The, Isliye Aapne Unse Sirf ItnaKaha Ki
Beta Rassi Aur Ek Churi Le Kar Mere Sath Chalo.
Chunanche Apne Bete Ko Leker Aap Ek Jungal Me
Pahunche
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ne Pucha,
Abbajaan!
Aap Yeh Churi Aur Rassi Le kar
Kyun Chalte Hain? Farmaaya Aage Chal Kar Ek
Qurbani Zabaah
Karenge Phir Aage Chal kar
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Saaf-Saaf Bayaan
Farmaa Diya…
Aur Kaha,
Beta!
Main Allah Taala Ki Raah Me
Tumhe Hi Zabaah Karne Aaya Hun,
Maine Khwaab Me Dekha Hai
Ki Tumhe Zabaah Kar Raha Hoon.
Beta! Yeh Allah Taala
Ki Marzi Hai, Bata Tumhari Marzi Kya
Hai ?
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ne Jawaab Diya,
Abbajaan!
Jab Allah Taala Ki Marzi Yahi Hai
Toh Phir Meri Marzi Ka Kya Sawaal? Aapko Jis Baat
Ka Huqm Hua Hai, Aap Woh Kijiye! Insha- Allah
Main Sabr Karke Dikhaounga!
Bete Ka Yeh Zurrat Aamez Jawaab Sun Kar Hazrat
Ibrahim (AlaihaySalam) Bade Khush
Hue Aur Apne Bete Ko Allah Taala Ki Raah Me
Zibaah Karne Par Taiyyar Ho gaye!
Jab Aapne Apne Bete Ko Maathe Ke Bal
Litaaya Aur Gardhan Par Churi Rakhi Aur Use
Chalaya Toh Churi Ne Gardhan-A-Ismail Ko
Bilkul Na Kaata!
Aapne Aur Jorse Churi Chalayi Toh Awaaz Aayi, Bas
Aye Ibraahim!
Tum Huqm-e-Iaahi Ki Taamil Kar Chuke Aur
Iss Sakht Imtihaan Me
Khare Utre
Aapne Mud Kar Dekha Toh Ek Doomba Paas
Hi Khada Tha Aur Aapse Keh Raha Tha Ki Hazrat
Ismail (Alaihay Salam) Ki Jagah Mujhe Zabaah
Kijiye!
Aur Inhen Hataa Dijiye, Chunanche
Hazrat Ibrahim (Alaihay
Salam) Ne Uss Doombe Ko Zibaah Farma Diya..!
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Uth Baithe Aur
Iss Imtihaan Me Kaamyaab Ho gaye!
(Al-Quran : Para-23,
Kutub-A-Tafasir)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm