Islamic Blog

*Saval-* Zaid Ghar Ka Malik Hai Aur Apne Naam Se Ek Martaba Ya Do Martaba Qurbani Kar Chuka Ho, Uske Baad Apne Naam Se Na Kara Kar Apne Ghar Ke Kisi Aadmi Ke Naam Se Qurbani Karna Chahta Hai To Qurbani Jaiz Hogi Ya Nahi ?

*Al Javab-* Qurbani To Jiske Naam Se Kare Ho Jayegi Lekin Malik Ke Sar Par (Qurbani) Na Karne Ka Gunah Laada Jayega Kyunki Wajib Usi Par Thi.

Fatawa Razaviya Me Hai Ki Ek Qurbani Sab Ki Taraf Se Nahi Ho Sakti, Aur Naa Hi Malike Nisab Ke Siva Kisi Par (Qurbani) Wajib Hai,
To Ghar Ka Malik Jis Par Qurbani Wajib Thi Usne Qurbani Nahi Ki Aur Jis Par Wajib Nahi Thi Uski Taraf Se Qurbani Ki To Ghar Ke Malik Par Se Qurbani Ka Bojh Utra Nahi.

📚 [ Fatawa Bahrul Uloom Jild : 5 Safha : 173 ]

(Yaani Ki Jo Sahibe Nisab Hai Qurbani Us Par Wajib Hai Aur Jo Sahibe Nisab Nahi Us Par Wajib Nahi Aksar Dekha Jata Hai Ki Log Apne Gharo Me Apne Na Se Ek Bakra Ya Ek Dumba Zabah Kar Dete Hai Aur Samajte Hai Pure Ghar Ki Taraf Se Qurbani Ho Gayi Ye Galat Hai, Ghar Me Jo Log Sahibe Nisab Hai Unko Bhi Apni Taraf Se Qurbani Ada Karni Hogi.

Source:facebook

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm