1- Bakri, Bakra, Bhed, Dumba, Bhens, Bhensa,Gaae( cow), Ount, Ountni, ki qurbani durust he, inke alawa kisi aur janwar ki qurbani durust nahi,
2- Gaae, Bhens, Ount me agar 7 aadmi shareek hokar qurbani kare to bhi durust he, magar zaroori he k kisi ka hissa 7 ve hisse se kam na ho, aur ye bhi shart he k sabki niyat qurbani ya aqeeqa ki ho, sirf gosht khane ke liye hissa rakhna maqsood na ho, agar ek aadmi ki niyat bhi sahi na hui to kisi ki bhi qurbani sahi na hogi,
🔵 3- Kisi ne qurbani ke liye Bada janwar ( gaae, bhens, ount vagerah ) kharida aur kharidte waqt ye niyat thi k doosre logo ko bhi shareek kar lenge, aur baad me doosro ka hissa rakh liya to ye durust he,
lekin agar Bada janwar kharidte waqt doosre logo ko shareek karne ki niyat nahi thi balki poora janwar apni taraf se qurbani karne ki niyat thi, magar ab doosro ko bhi shareek karna chahta he to ye dekha jayega k us shakhs ke zimme qurbani wajib he ya nahi, agar qurbani wajib he to doosro ko bhi shareek to kar sakta he magar behtar nahi, aur agar uske zimme qurbani wajib nahi thi to doosro ko shareek karna durust nahi,
4- Agar qurbani ka janwar gum ho gaya aur usne doosra janwar kharid liya, fir ittefaq se pehla bhi mil gaya to agar us shakhs ke zimme qurbani wajib thi tab to sirf ek janwar ki qurbani uske zimme hogi, aur agar qurbani wajib nahi thi to dono janwaro’n ki qurbani lazim hogi,
🔵 5- Bakra, Bakri, agar ek saal se kam umar ki ho chahe ek hi din ki kami ho to uski qurbani karna durust nahi,
6- Gaae, Bhens poore 2 saal ki ho to qurbani durust hogi, isse kam umar ki ho to durust nahi,
🔵 7 – Ount ( camel) poore 5 saal ka ho to qurbani durust he,
8- Bhed ya Dumba agar 6 mahine se zyada ka ho aur itna mota tazah ho k agar poore ek saal wale Bhed, Dumbo’n ke darmiyan chhoda jae to farq maloom na ho to uski qurbani karna durust he, aur agar farq maloom ho to qurbani durust nahi,
➖➖➖➖➖
🔜ontinue in sha Allah ta’ala ⚪
📚 *Aapke masail or unka Hal.*
📃 *JILD-4, safa 167.*
❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021