1:…Kisi shakhs ne qurbani ki mannat mani ho to
us pr qurbani wajib he.(badaiA:5/ 61)
2:..kisi ne marne se pehle qurbani ki wasiyyat ki ho
or itna maal choda ho k uske tihay(1/ 3)maal se
qurbani ki ja sake to uski taraf se qurbani krna
wajib he.(Aalamgiri:5 /306)
3:..Jis shakhs pr sadka e fitr wajib he us pr
qurbani k dino me Qurbani b wajib he,lihaza jiske
paas Rehne ka makan,khane pine ka
saman,istemal k kapde or rozana istemal ki dusri
chizo k Alawa sarhe bawan(52.5)tola chandi ki
maliyat ka Naqad rupeea,tijarat ka saman ya dusra
saman ho us pr qurbani wajib he.(Durr:6/312)
*masalan ek shakhs k paas 2 makan he 1 me rehta
he dusra khali he to us pr qurbani wajib he jabke
us makan ki qeemat Sarhe bavan tola chandi ki
maliyat k barabar ho.(aalamgiri:5 /293)
*ya masalan:ek makan me khud rehta he or dusra
kiraye pr diya he to us pr b qurbani wajib he
Albatta uski kamai ka zariya hi yahi makan ka
kiraya he to ye b zaruriyat e zindagi me shumar
hoga or us pr qurbani wajib nhi hogi.(Bazzaziya
h:6/287)
*ya kisi k paas 2 Gadi he ek aam istemal ki or
dusri zayid to us pr b qurbani wajib he.(Aalamgiri:5
/293)
* ya kisi k paas 2 plot he ek makan banane k liye
or dusra zayid he to agr dusre plot ki qeemat
sarhe bavan tola chandi ki maliyat k barabar ho to
us pr qurbani wajib he.(Hawala sabik)
4:..Aurat ka mahar(Muajjal)i tni maliyat ka ho to
us pr b qurbani wajib he ya waliden ki taraf se diya
gaya zewar or shadi me mili zayid chize nisab k
barabar ho to us pr qurbani wajib he.(hashiya
radd:6/312)….
- Sultan Shamsuddin Altamas. - 25th October 2016
- Allah Ki Raah me Kharch. - 24th October 2016
- Aqeeda aur Niyat. - 22nd October 2016