Islamic Blog

HIQAYAT1f337🌷
*********
1f338🌸Ek Martaba Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Hazrat Abu Huraira Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ko Sadqa-A-Fitr Ki Hifazat Keliye Mukarrar Farmaya! Hazrat Abu-Huraira Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Raat Bhar Us Maal Ki Hifazat Farmate Rahe!

1f338🌸Ek Raat Ek Chor Aaya Aur Maal Churane Laga! Hazrat Abu-Huraira Ne Use Dekh Liya! Use Pakad Liya! Farmaya, Main Tujhe Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Pesh Karuga! Us Chor Ne Minnat-Samajat Karna Shuru Kerdi! Kaha, Khudara! Mujhe Chhod Do Main Sahab-A-Aayaal (Biwi-Bacche Wala)Hoon Aur Mohtaaj Hoon!
1f338🌸Hazrat Abu-Huraira Ko Rahem Aagaya Aur Use Chhod Diya! Subah Hazrat Abu-Huraira Jab Bargah-A-Risalat May Haazir Hue To Huzoor Ne Muskuraker Farmaya, Abu-Huraira! Wo Raat Wale Tumahre Qaidi (Chor) Ne Kya Kiya? Hazrat Abu-Huraira Ne Arz Kiya, Huzoor! Usne Apni Ayaaldari Aur Mohtaaji Bayaan Ki To Mujhe Rahem Aagaya Aur Maine Chhod Diya! Huzoor Ne Farmaya, Usne Tumse Zhoot Bola! Khaberdar Rehna! Aaj Raat Wo Fir Aayega!
1f338🌸Hazrat Abu-Huraira kehte Hain Ki Main Dusri Raat Bhi Uske Intezaar May Raha! Kya Dekhta Hoon Ki Wo Wakayi Fir Aa Pahucha Aur Maal Churane Laga! Main Fir Use Pakad Liya! Usne Fir Minnat-Khushamad Ki Aur Mujhe Fir Rahem Aagaya Aur Maine Fir Chhod Diya, Subah Jab Huzoor Ki Bargah May Haazir Hua To Huzoor Ne Fir Farmaya, Abu Huraira! Wo Raat Wale Qaidi Ne Kya Kiya? Maine Fir Arz Kiya, Ki Huzoor! Wo Apni Haajat Bayaan Karne Laga To Mujhe Rahem Aagaya Aur Maine Fir Use Chhod Diya! Huzoor Ne Farmaya, Usne Tumse Zhoot Kaha, Khaberdar! Aaj Wo Fir Aayega!
1f338🌸Abu-Huraira Kehte Hain Ki Tisri Raat Wo Fir Aaya! Maine Use Pakadker Kaha Ki Kambakhat Aaj Na Chhoduga Aur Huzoor Ke Paas Zaroor Leker Jaounga! Wo Bola, Abu-Huraira! Main Tujhe Kuch Aise Kalimaat Sikhana Chahta Hoon Jinko Padhne Se Tu Nafa May Rahega! Suno! Jab Sone Lago To Aayatul-Kursi padhker Soya Karo! Isse ALLAH Tumahri Hifazat Farmayega Aur Shaitaan Tumahre Nazdiq Nahi Aa Sakega!
1f338🌸Hazrat Abu-Huraira kehte Hain wo Mujhe Yeh Kalimaat Sikhaker Mujhse Rihayi Pa Gaya! Maine Jab Subah Huzoor Ki Bargah May Yeh Saara Kissa Bayaan Ki To Huzoor Ne Farmaya, Usne Yeh Baat Sacchi Kahi Hain! Halaaki khud Wo Bada Zhoota Hain! Kya Tu Jaanta Hain, Aye Abu-Huraira, Ki wo 3 Raat Aane Wala Kaun Tha? Maine Arz Kiya, Nahi Ya Rasoolallah! Main Nahi Jaanta! To Huzoor Ne Farmaya, Wo Shaitaan Tha!

(Mishkaat Sharif Pg-177)

*******************
2665 SABAK 2665
*********
1f33a🌺Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Guzre Hue Aur Hone Wale Sab Wakiyaat Ko Jaante Hain! Hazrat Abu-Huraira Ke Paas Raat Ko Chor Aaya To Huzoor Ne Khud Hi Farmaya Ki Abu-Huraira Ki Raat Ke Qaidi Ne Kya Kiya? Fir Yeh Bhi Farmaya Ki Aaj Fir Aayega!
1f33a🌺Chunanche, Wahi Kuch Hua Jo Huzoor Ne Farmaya! Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Aalim-A-Ma-Ka-Na-Wa-Ma-Yakun Hain!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm