Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke har raat ko ek
farishta pukaarat hai ke, Ae bhalai ke talash karne waale, dhyan de aur aage badh,
aur ae burai ko pasand karne waale, bas kar aur aankhe khol, iske baad farishta
phir kehta hai, he koi maghfirat (maafi chahne wala) jiski maghfirat ki jaae, he koi
tauba (gunaho se maafi chahne wala) jiski tauba ko kubul kiya jaae, he koi aur bhi
kuch maangne wala jiski dua kubul ki jaae.
Bhaiyo-bahno hum log sehri ke liye to uthte hi hain, bas 30 minute pahle uth
jaaen. Aur tahajjud ki namaz padh kar Allah se khoob apne dil ki dua maango,
jannat maango, dozakh se panah maango, duniya mein kaamyaabi maango, sehat
maango, jo maangna hai maango. Allah hamari dua zarur sunega.
Aur abhi ramzan barkato wala mahina chal raha hai isme to Allah aur khas taur
par hum par dhyan deta hai.
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022