Islamic Blog

HIQAYAT:-
*********
Ummul Momineen Hazrat Aayesha Siddiqa Radi-Allahu-Ta’­aala-Anha Farmati Hain Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-LAIHI-WASAL­LAM Ke Marz-A-Visaal Ke Dino Ek Din Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’­aala-Anha Khidmat May Haazir Hui To Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ne Uneh Apne Dayen Janib Bitha Liya Aur Fir Ek Raaz Ki Baat Unse Farmayi! Jise Sunker Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’­aala-Anha Ro Padi! Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ne Fir Dusri Baat Farmayi! Jise Sunker Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’­aala-Anha Has Padi! Hazrat Aayesha Siddiqa Radi-Allahu-Ta’­aala-Anha Farmati Hain Maine Hazrat Fatima Se Pucha, Pyari Beti Yeh Maine Aaj Kya Dekha Hain Ki Tum Pehle Ro Padi Aur Fir Has Padi! Hazrat Fatima Ne Farmaya, Main Rasoolallah SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ke Raaz Ko Ifsha (Faash) Na Karugi! Fir Jab Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ka Visaal Hogaya To Maine Hazrat Fatima Se Pucha Ki Beti Ab To Bata Do Ki Us Roz Kya Baatain Hui Thi Ki Tum Pehle Ro Padi Fir Has Di Thi! Hazrat Fatima Ne Farmaya, Ammijaan Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ne Mujhe Yeh Farmaya Tha Ki Zibrayil Mere Sath Har Saal Quraan Ka Daura Kiya Karta Tha, Magar Is Saal Usne 2 Dafa Daura Kiya Hain, Mujhe Malum Hota Hain Ki Mere Visaal Ka Waqt Aagaya Hain! Main Yeh Baat Sunker Ro Padi Aur Fir Huzoor Ne Farmaya Beti Mere Ehle Baeth Mayse Sabse Pehle Tumahra Visaal Hoga To Yeh Baat Sunker Main Has Padi!(Bukhari Sharif Jild-1,Pg-512)
*****************************
SABAK:-
********
Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’­aala-Anha Ko Ek Khaas Makaam Haasil Tha! Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ko Apne Visaal Sharif Ka Ilm Tha Aur Aapko Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’­aala-Anha Ke Bhi Visaal Sharif Ka Ilm Tha!

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm