Rabi ul Awal ka mahina islami saal ka teesra mahina hai. Ye mahina khair o barkat or sa’adaton ka mahina hai kyun k is mahine ki 12 tarikh ko Allah Ta’ala ne apne fazl o karam se Rehmat ul lilalamin Hazrat Muhammad Mustafa (SAW) ko paida farma kar apni naimaton ki barish farmayi.
Ap (SAW) ka is duniya mai tasreef lana hmare liye Allah Ta’ala ka bht bara ehsan hai. Irshad e bari Ta’ala hai k:
لقد من اللھ علی المو منین اذ بعث فیکم رسول۔
Allah ta’ala ne iman walon per ehsan kiya jb us ne apne mehboob ko rasool bna kar bheja.
Ap (SAW) ki zaat hmare liye Allah ki tarf se ek inam or ek ehsan hai or rehmat hi rehmat hain.
و ما ار سلنک ا لا ر حمت الا لمین ۔
Or Allah Ta’ala ne Ap (SAW) ko tmam jahanon k liye rehmat bna k bheja.
Ba’az ulma ikram ka khyal hai k ramzan ka mahina bari fazilat or azmat ka maheena hai q k is mahine mai hmen rozay ata famaye gye laila tul qadar ata farmayi gayi etqaf ki barkaten ata farmayi gayi, quran e pak ata farmaya gya, naikiyon k ajr o sawab mai azafa ata farmaya gya is lehaz se amzan ka mahina bari azmat or fazilat ka mahina hai
lekin ba’az ulma ikram ka khayal hai k rabi ul awal ka maheena zyada fazilat o azmat ka mahina hai kyun k rabi ul awal ka mahina ek aisi khasiyat se saal bhar k tamam mahinon se zyada afzal or qabil e ehtram hai k Allah ta’ala ne is mahine mai apna mehboob ata farmaya. Ap (SAW) k ane se hmen ramzan ka mahina mila, ramzan ki barkaten mili, etiqaf mila,quran mila, iman mila, laila tul qadar mili, naikiyon k ajr o sawb mai izafa mila, rehnumai mili, goya k Khuda b mila to Ap (SAW) ki nisbat se mila. Ap (SAW) ki wiladat ek aisi naimat hai.
Sari naimaten na milti agar hmen Ap (SAW) na milte. Allah Ta’ala ne jb quran ko nazil kiya to hmen ehsan nhi jatlaya, ramzan ka mahina ata farmaya to ehsan nhi jatlaya, laila tul qadr ka ehsan nhi jatlaya, suraj, chand, sitare, asman, zameen, hatta k insan hone ka ehsan b nhi jatlaya, sirf ye farmaya k aye logon agar tum meri naimaton ko gin’na chaho to gin nhi sako ge. Phir farmaya tum apne rab ki kon kon si naimaton ko jhutlao ge. kisi naimat pr ehsan nhi jatalaya balke Ap (SAW) ki amad per Ehsan jatlaya. Allah ta’ala ne irshad farmaya k jb Allah tumhe koi naimat de koi rehmat kare to khushi mnaya karo Ap(SAW) ki zaat hmre liye rehmat hi nhi balke rehmat ul lilalamin hai is lehaz se ye mahina munfarid ho jata hai. Jb Allah ki naimat mile Khush hona chaiye, Allah ka shukar ada karna chaiye nashukri nhi karni chaiye
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021