Raah-e-Haq Par Kharch Karna Behtareen Sadqa Hai …..
» Hadees : Aye Aadam Ke Betey! Kharch Kar Ki Mai Bhi Tujh Par Kharch Karunga!!!
Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki,
“Allah Subhanahu Ta’ala Farmata Hai “Aye Aadam Ke Betey! Kharch Kar Ki Mai Bhi Tujh Par Kharch Karunga” Aur
Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Allah Ka Haath Bharaa Hua Hai (Raah-e-Haq Par) Raat Din Kharch Karney Se Kuch Kam Nahi Hota”.
-(Sahih Muslim, Vol 3, 2308)
» Hadees : Apney Gharwalon Par Kharch Kare !!!
Hazrate Soban (Razi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Behtar Dinar (Ya Rupya) Jisko Aadmi Kharch Karta Hai Wo Hai Jisey Wo Apney Gharwalon Par Kharch Kare
Aur Isi Tarah Wo Hai Jisey Wo Kharch Karta Hai Apney Janwar Par Allah Ki Raah Me,
Aur Wo Jisey Wo Kharch Karta Hai Apney Dosto Par Allah Ki Raah Me”.
-(Sahih Muslim, Vol 3, 2310)
» Hadees : Ziyada Sawaab Gharwalon Par Kharch Karna !!!
Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Ek Dinar (Ya Rupya) Tumney Allah Ki Raah Me Diya,
Ek Ghulam Ko Azad Karney Me Diya Aur
Ek Dinar Miskeen Ko Diya Aur
Ek Apney Gharwalon Par Kharch Kiya Toh Ziyada Sawab Uss (Dinar) Par Hai Jo Tumney Apney Gharwalon Par Kharch Kiya
-(Sahih Muslim, Vol 3, 2311)
» Hadees : Biwi Bacchho Par Kharch Karna Sadqa Hai!!!
Hazrate Abu Mas’ud (Razi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki,
“Jab Koi Insan Apni Biwi Bacchho Par Kharch Karta Hai Aur Niyat Sawaab Ki Ho Toh Wo Uske Liye Sadqa Hai (Sawaab Ka Kaam Hai)”.
Hazrat Saad Ibne Waqqas (Razi Allahu Anhu) Se Mairvi Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Tum Jo Bhi Kharch Karo Aur Ussey Tumhari Niyat Allah Ko Raazi Karne Ki Hai Toh Tumhe Uska Sawaab Milega Yahan Tak Ki Apni Biwi Ke Munh Me Jo Luqma Rakhte Ho Uska Bhi Sawaab Milega”
-:(Nuzhatul Qari Sharhe Sahih Bukhari, Part-1 Page-172, Hadees-46 & 47)
» Sabaq: In Ahadeeso Se Hume Pata Chalta Hai Ki Koi Mubah Kaam Neki Ki Niyat Se Kiya Jaye Toh Uss Par Bhi Sawaab Hai, Biwi Bachcho Ko Palna Khilana-Pilana Insan Karta Hai Lekin Allah Ta’ala Ki Raza Ke Liye Wo Ye Sab Khilaye Toh Uss Par Sawaab Milta Hai, Ke Beshaq Amal Ka Saara Daromadar Niyaton Par Hai.
!!! Allah Taala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De !!! AMEEN
- Sultan Shamsuddin Altamas. - 25th October 2016
- Allah Ki Raah me Kharch. - 24th October 2016
- Aqeeda aur Niyat. - 22nd October 2016