Islamic Blog

Hadees Sharif:
Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, “Teen(3) Aadmiyon Ki Dua Radd Nahi Ki Jaati (1) Aadil Hukmaraan (2) Rozedaar Hatta Ke Roza Iftar Karle Aur (3) Mazloom.
[Tirmizi 3598, Hadees Hasan]

Hadees Sharif:
Jannat Mein 8 Darwaze Hain Unme Ek Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, Us Darwaze Se Wahi Jannat Mein Jayega Jo Roza Rakhte Hain.
[Sahih Al Bukhari Shareef, Jild-1, Safa-394, Hadees-3257]

Hadees Sharif:
Jisne Allah Ki Riza Ke Liye Ek Din Ka Roza Rakha Allah Paak Use Jahannam Se Itna Door Kar Dega Jaise Kawwa Jab Bachcha Tha Us Waqt Se Udta Raha Yahan Tak Ki Budha Ho Kar Mara.
[Musnad Imam Ahmad Bin Hambal, Hadees 619]
Note: Kawwa Bahot Lambi Umr Paata Hai 100 Saal Tak Ya Usse Ziyadah, To Wo Apni Umr Me Jitna Udta Hai Bachpan Se Budhape Tak Utne Fasle Par Allah Rozedar Se Jahannam Ko Door Farma Dega.

Hadith:
Ye Mahina (Ramzan Sharif) Sabr Aur Bhalai Ka Hai Aur Sabr Ka Sawab Jannat Hai Aur Is Me Momin Ka Rizq Badha Diya Jata Hai.
[Sahih Ibn-E-Khuzaima 3/1887]

Hadith:
Roza Aur Quran Bande Ki Shafa’at Karenge, Roza Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Khane Aur Khwahishon Se Ise Din Me Rok Diya, Meri Shafa’at Iske Haq Me Qubool Farma, Quran Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Raat Me Sone Se Baaz Rakha Meri Shafa’at Iske Haq Me Qubool Farma Dono Ki Shafa’aten Qubool Hogi.
[Musnad, Imam Ahmed bin Hanbal, Jild-2, Safa-586]

Hadith:
Roze Ke 3 Darje Hain,
1-Aam Logo Ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur Jima Se Rokna.
2-Khas Logo Ka Roza Kaan Aankh Zuban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna.
3-Khasul Khas Logo Ka Roza Ki Allah Ke Siwa Apne Ko Sab Se Juda Karna Aur Apni Tamam Tawajjoh Ko Sirf Allah Ki Taraf Lagana.
[Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-966]

Hadees Sharif:
Amirul Momineen Maula E Kainat Hazrat Syedna Ali E Murtaza Radiallahu Anhu Farmate He Ke “Agar Allah Ta’ala Ko Ummat E Mohammadi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Azaab Karna Maqsood Hota To Inko Ramzan Aur Surah Ikhlas (Surah Qul Huwallah) Sharif Hargiz Inayat Na Farmata.”
[Nuzhatul Majaalis]

Roza Ke Masail:
Mafhoom-e-Hadees:
Abu Huraira Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Jis Rozedaar Ko Khud-Ba-Khud Qay(Ulti yani vomit) Aaye Iss Par Qaza Nahi Hai Albatta Jo (Jaan Boojh Ker) Qay Karey Woh Qaza Rozey Rakhey.”
[Abu Dawood, Ibn-e-Maja]

Source: sherekhudahazratali.com

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm