Ramzan mein ye karo
======================================
Ramzan ME ALLAH KA Khoob ZIKAR KARE, ALLAH SE Apne gunaho ki maafi maange, ALLAH KI RAZA HAASIL KARE, KAM SE KAM 1 QURAAN PURA Padhen. SAAL ME 2 MARTABA QURA’AN PADHNA WO QURA’AN KA HAQ HE. USME SE EK RAMADAN K MAHINE ME OR EK RAMADAN K ALAVA.. WESE TO JITNA PADHNA HO PADH SAKTE HE
LeKIN 1 quran sharif ZARUR pura kare. TARAVEEH EK BHI NA CHHODE, puri 20 rakaat tarweeh padhen, 5 TIME KI NAMAZ BA-JAMA’AT ADAA KARE, ZIYADAH SE ZIYADAH DURUD SHARIF PADHE. IBADAT ZIYADAH SE ZIYADAH KARE. AGAR IBAADAT zyada busy hone ki wajah se zyada na ho sake to KAM SE KAM GUNAH TO NA KARE. Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.
Roze Mein Kya Nahi Karna Chahiye
=========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya –
Roza Dozakh (hell) se bachnee ke liye ek dhaal hai isliye ( jo rozedar ho) wo na to biwi se humbistari kare (roze ki halt mein) aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh us se jhagde ya usko gaali de to uska jawab mein sirf ye kahna chaahiye ki main Rozedar hun. Do baar (kahe) , us zaat ki kasam jiske haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada pasandeeda aur pakeeza hai (Allah farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat meri liye chhodta hai, Roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal neki ke 10 guna hota hai (dusri hadeeso mein 70 guna bhi aya hai)
Sahih Bukhari, Vol 3, 1894
Roza
============================
Ramzan mein ek neki ka sawab 70 guna(times) badha diya jata hai. Ek nafil ka sawab ek farz ke barabar milta hai aur ek farz ka 70 faraiz ke barabar. Ye mahina Nekiyan kamane ka mahina hai.
Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne Is mahine ke bade fazael bayan kiye hain aur Riwayaat me aata hai ke Tez hawa se ziada ap sallalallahu alaihi wasallam is mahine ke aakhri ashre me Bhalai karne me tez hojaya karte the.
ek hadees ka mafhoom hai jisme Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Roza Dhaal hai.Jab tumme se koi Roza ho to Behayai ki baten na kare or Shor na kare.Agar koi Use Gaali de ya usse Ladai Jhagda kare to kehde ME ROZE DAR HU.
(BUKHARI)
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.
Ramzan Mein Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jaate Hain
============================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya –
Jab Ramzan Ka Mahina Shuru hota hai to Jannat ke darwaaze khol diye jaate hain, jahannam (hell) ke darwaze band kar diye jaate hain aur shaitan ka ked kar liya jata hai.
[Sahih Bukhari, Volume 3, Book 31, Number 123]
Roza Saari Ibadato Ka Darwaza Hai
=======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska mafhum ye hai ke)
Roza saari ibadato ka darwaza he yaani roze ki wajah se dil roshan ho jata hai jiski wajah se dusri ibadat me bhi maza aane lagta hai
Roze Ka Badla Allah Khud Deta Hai
===================================
Jab insan roza rakhta hai to ye Allah ko bahut pasand aata hai, Allah farmata hai ki har nek amal ka badla farishte dete hain, magar roze ka badla me khud deta hu.
Bhaiyo-bahno roze ki ahmiyat ko samajhiye, aur poore roze rakhiye, Allah hamari madad farmaye.
Ramzan Ka Mahina
============================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Farmaya Ke Ramzaan Ka Mahina Aa Gaya He, Jo Barkat Wala He, Allah isme Tumhari Taraf Mutawajje Hota (zyada dhyan deta) He aur Apni Khaas Rahmate (blessings) Nazil Farmata He, Gunaaho Ko Maaf Farmata He, Duwa Ko Qabool Farmata He aur Tumhare Tanafus Ko Dekhta He (tanafus Yaani Ek Dusre Se Ibadat Me Muqabla Karna Ke Kon Ziyada Ibadat Karta He) aur Farishto Par Fakhr Farmata He, Bas Allah Ko Apni Nekiya Dikhlao. Bad-Naseeb He Wo Sakhs Jo Is Mahine Me Bhi Allah Ki Rahmat Se Mahroom Reh Jaye.
Ref.: Tabrani
Allah Hame Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
Ramzan Ki Ahmiyat (importance)
======================================
Ramzaan Bahut barkato aur rahmato ka mahina hai. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki agar meri ummat ko iski ahmiyat pata chal jaaye to wo chahege ki saara saal hi ramzaan jesa ho jaaye. Is mahine mein 1 neki ke badle 70 neki likhi jaati hai. Gunahgaro ke gunah Allah maaf karta hai. Shaitan ko ked kar diya jaata hai.
Is mahine ki ahmiyat isi baat se lag jaati hai ki Allah ne saari Aasmaani kitabe (Toret, Zubur, Injeel, Quran) Ramzan ke mahine mein utari. Quran loh-e-mehfuz se duniya waale aasmaan par pura ka pura isi mahine mein utara gaya aur waha se 23 saal mein thoda-thoda haalat ke hisab se duniya mein bheja gaya.
Hazrat Ibrahim (alyhissalam) ke sahife isi mahine ki 3 taarikh ko utaare gaye. Hazrat Daud (alyhissalam) ko zubur 18 ya 21 ramzan ko mili, Hazrat Musa (alyhissalam) ko Toret 6 ramzan ko di gai, Hazrat Eesa (alyhissaslam) ko injeel 12 ya 13 ramzaan ko di gai.
Sochne waali baat hai ki Allah ko ramzan ka mahina kitna pasand hai ki bade-bade kaam isi mahine mein kiye. Isliye hum bhi is mahine ki ahmiyat ko samjhen aur Allah ki ibadat karke, roze rakh kar iska pura faida uthaye.
Allah hum sabko bhi is mahine ki ahmiyat samajhne aur iska haq ada karne wala bana de. Aameen.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022