Islamic Blog

Shab-E-Qadar Kya hai –

Ramzan mein ek khaas raat hoti hai. ye raat bahut hi barkat aur bhalai ki raat hai, is raat ko jaagkar Allah ki ibadat karte hain. Quran mein is raat ko 1000 mahino se badhkar bataya gaya hai, matlab agar koi insan is raat ko jaagkar Allah ki ibadat kar le to usko kam se kam 1000 mahine ibadat karne ka sawab milta hai, 1000 mahine matlab 83 saal, 4 mahine. Kam se kam 1000 mahine ka sawab to milta hi hai aur Allah chaahe to isse bhi badhkar de sakta hai.

Ye Raat Ramzaan Mein Kab Aati Hai –

Bahut se log ye samajhte hain ke shab-e-qadar ramzaan ki 27 shab hi hoti hai, lekin ye zaruri nahi hai ke shab-e-qadr isi raat ko ho. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke Shab-E-Qadar ko ramzaan ki aakhri 10 taak raato mein talash karo, matlab ye raat 21, 23, 25, 27, 29 raat mein se koi bhi ek raat ho sakti hai (Allah ne is baat ko chhupa liya ke shab-e-qadar isme se kon si raat hai). Isliye agar shab-e-qadar jesi keemti raat ko paana hai to ye 5 raat jaagna padhega, kisi bhi keemti cheez ko paane ke liye thodi mehnat to karna padhti hai. Kai ulema ne is baat par zor diya hai ke shab-e-qadar 27vi raat ko hoti hai.
Hum kisi ki shaadi, party, movie, exam mein raat bhar jaag lete hain to kya itni keemti raat ke liye hum sirf 5 raat nahi jaag sakte. Wese bhi ramzan mein insan raat 12-1 baje tak sota he aur 3.30 baje sehri ke liye uth jata hai, phir fajar padh kar hi sota hai, agar hakikat mein dekha jaae to sirf humko 3-4 ghante hi zyada jaagna hai.
Allah hum sabko shab-e-qadar ka jaagna naseeb kare.

 

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)