Islamic Blog

Kya sehri karna zaruri hai
===================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab ye hai ke) –
Sehri mein barkat hai, isko hargiz na chhodo, agar kuch nahi to us time paani ka ek ghoot hi pi lo, kyonke sehri mein khane-pine waalo par Allah raham farmata hai aur farishte uske liye kher ki dua karte hain.
Bhaiyo-bahno, bahut se log aese bhi hain, jo roza to rakhte hain lekin susti aur kaahili ki wajah se sehri khane nahi uthte, jo aesa karte hain wo ek sunnat ko chhod dete hain, aur sehri kahne ke faide to aapne upar padh hi liye, isliye agar sehri mein kuch khaya na jaae to kam se kam paani ya chaay hi pi lo, kam se kam sunnat to ada ho jaaegi aur sawab alag milega.
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.

 

Roza Khajur Se Khola Karo
=====================
(1) Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya :
Khajoor Se Roza Kholo Aur Agar Khajoor Na Mile Toh Paani Se Roza Kholo, Isliye Ki Wo Paak Hai.
(Abu Dawoòd, Tirmizi)
(2) Hazrat Anas (Radhi Allahu Anhu) Bayaan Karte Hain Ke Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Namaz Se Pehle Taaza Khajooro’n Se Roza Kholte The, Agar Taza Khajoore Na Milti To Sookhe Khajooro’n Se Roza Kholte Aur Agar Sukhi Khajoore Na Hoti To Chand Ghoont Paani Pee Lete The.
(Abu Dawood , Tirmizi)

Roza Kholne Se Pahle Ka Time Bahut Keemti Hai
==============================
roza kholne se pehle ka time bahut keemti hai, is time dua bahut jaldi kubul hoti hai. ALLAH is time Bando par khaas dhyan deta hai aur Dua puri karta hai… Allah farishton ko hukm deta hai ke mere bande ki dua par aameen kaho, samandar ki machhliya bhi is time ki dua par aameen kahti hain,

auraten bhi roza kholne ke time tak kuch na kuch pakati rahti hain, isliye koshish kariye azan se kam se kam 30 minute pahle aapke saare kaam khatam ho jaaen aur roza kholne se pahle ka keemti time aap dua maangne mein guzaren.

Allah hum sab ko amal karne ki taufeeq ata farmaye. Aameen.

Iftaar (Roza Kholne) mein jaldi kiya karo
==============================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi wasallam) ne farmaya –
Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair (bhalai) baaqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi kartey rahenge
– Sahih Bukhari, Volume 3, 1957
matlab ye ke jese hi azan ki awaz aae wese hi roza khol lena chahiye, chahe kahi bhi busy hon, roza pehle khol len. Roza Kholne mein der karna accha nahi hai.
Agar aesi jagahn hon jaha azaan ki awaaz nahi aati ho to time dekh kar roza khol lijiye.

Agar Galti Se Roze Mein Kuch Kha Liya To?
===========================
Hazrat Muahammad (sallallahu ‘alaihi wa sallam) ne farmaya –
jab koi bhool gaya aur kuch khaa pi liya toh isse chahiye apna roza pura kare kyuke is ko Allah ne khilaya aur pilaya hai.
Sahih Bukhari Vol. 3, Book 31, Hadith 154
Bhaiyo-bahno iska matlab ye hai ke agar kisi ka roza tha aur usne galti se kuch kha-pi liya to uska roza kharab nahi hota, lekin jese hi roze ka dhyan aaye khana-pina chhod de, muh mein niwala/lukma ho to bahar thook de, paani muh mein ho to bhar thook de, kyonke dhyan aane ke baad agar gale ke neeche utaar liya to roza kharab ho jaayega. Lekin jab tak yaad na aya tab tak chahe pet bhar kar bhi kha-pi liya to roza kharab na hua. Ye khana-pina Allah ki taraf se hota hai.
Allah hamare rozo ki galtiyo ko maaf kare, aur hamare rozo ko kubul farmaye.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm