Islamic Blog

Allah ne sabhi aasmani kitabe is paak mahine mein hi utaari hain, aur quran ko bhi isi mahine mein loh-e-mehfuz se aasmaan-e-duniya mein maqsadutara gaya, aur phir waha se dheere-dheere 23 saal mein is duniya mein bheja gaya . Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) bhi pura quran hazrat Jibrail (alyhissalam) se sunte the, aur kinhi hadeeso mein aya hai ke Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se Jibrail (alyhissalam) sunte the. Baat jo bhi ho lekin isse ye pata chala ke is mahine mein quran sharif padhne, sunne-sunane ki kitni ahmiyat hai. Isliye ramzan mein kam se kam 1 quran sharif to pura kariye.
Quran sharif padhne par har huruf par 10 neki hai jese Aleef laam meem, isse 30 neki mil gai, lekin isko ramzan mein padhenge to iska sawab Allah 70 guna tak badha dega.
Aur quran sharif padhne ke saath-saath uska tarjuma aur tafseer bhi padho, kyonke quran ka asal maqsad to usse hidayat paana hi hai. Agar kahi samajh na aaye to kisi aalim ki help le lo.
Ramzan bahut hi keemti mahina hai, jitna faida utha saken uthaiye,
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm