Islamic Blog

Via: Jamate Razae Mustafa Unnao

•”RAMZAN SPECIAL”
*Chand Dekhne Ka Bayan….
<QURAN> Aye Mehboob Tum Se Chand Ke Bare Me Sawal Karte Hain, Tum Farma Do Wo Logon Ke Kamo Aur Haj Ke Liye AWQAT Hain
{القرآن، الجزء-2، سورة البقرة-189}
Hadees> Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Kro & Chand Dekh Kar aftar Karo,,, aur Agar Abar (Badal) Ho To Shaban Ki Ginti 30 Ki Puri Karo
{صحیح البخاري، كتاب الصوم، الحديث-1909}
Hadees>
Ummul Momineen Hazrat Aisha Se Riwayat Hai Rasool صلى الله عليه وسلم Shaban Ke Mahine Ki is Qadar Hifazat Karte Ki itni kisi Aur Mahine Ki Nahi Karte…..
Phir chand Dekh Kar Ramzan Ke Roze Shuru karte…..
Agar Abar Hota To 30 Din Shaban Ke Pure Kar Ke Ramzan Ka Roza Rakhte.
{ سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب إذا أغمي الشهر، الحديث-2325}
Chand Ke Hawale Se Masayel Fiqhe Hanafi Ki Roshni Me……
✏Mas’ala:
5 mahino Ka Chand Dekhna Wajibe Kifayah Hai…
Shaban
Ramzan
Shawwal
Zee Qadah
Zil Hijjah…..
Shaban ka is liye Ki Agar Ramzan ka Chand Dekhte waqt Abar Ya Gubaar Ho To Ye 30 Ki ginti Puri Kar Ke Ramzan Shuru Kare….
Aur ramzan ka is liye ki roza rakhna hai, shawwal ka is liye ki roza khatm karna hai,, aur Zee Qadah Ka Is Liye Ki Zil hajja Me Chand Dekhna Hai Aur Zil Hajja Ka is Liye Ki Baqra Eid Karni Hai
{الفتاوى الرضوية، جلد-10، صفحہ-451}
✏Mas’ala:
Kisi Ne Ramzan Ya Eid Ka Chand Dekha Magar uski Gawahi Qubool Na Hui fasiq (dadhi katta, ya khule aam gunahe kabira karne wala fasiq hai) Hone Ki Wajah Se… Ya kisi Eik Hi Admi Ne Chand Dekha Aur uski gawahi maani nahi Gai To Ab Ye Bhi Roza Rakhe AgarChe isne chand Dekha Ho…
Isko Roza Todna Jayez Nahi, aur Todega To Kaffara Lazim Nahi
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-975}
✏Mas’ala:
Abar Aur Gubar Me Ramzan Ka Saboot Eik Musalman Aaqil Baligh Mastoor Ya Aadil Shakhs Se Ho Jata Hai, chahe Wo Mard Ho Ya Aurat… azad Ho Ya Baandi, Ya Uspe Zina ki Had Jari Ho Chuki Ho jab ki tauba Kar Liya Ho
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, Page-975}
Aadil Hone Ka Mana Ye Hai Ki Kam Se Kam Muttaqi Ho Yani Bade Gunaho Se Bachta Ho aur Chote Gunah Hamesha Na Karta Ho, aur aisa kaam na karta ho jo murawwat ke khilaf Ho masalan Bazar me khana….
{Bahar-e-shariat}
•”QURAN”
Aye imam Walon Tum Pe Roza Farz Kiya Gaya.. jaisa unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye..
Taki Tum Gunaho Se Bacho,, phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe), aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Boodha admi Ya aisa bimar jiske tandurust Hone ki ummid na Ho) wo Fidya Den,,,,,,
Eik Miskeen Ka Khana phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho
{قرآن كريم، پارہ-2، سورة البقرة-187}

Roze ki fazilat Me Ba-kasrat Hadeesen Aain Hain, Huzoor Sarkare 2 Aalam janabe Muhammadur Rasulullah Sal’lallahu Alaihi Wasallam ke Muqaddas irshadaat Roze Ki Fazilat Me Ye Hain

✒HADEES:
Jab Ramzan Aata Hai Rehmat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, aur Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain,,,, aur Shayateen Zanjiron Me Jakad Diye Jate Hain
{صحيح مسلم، كتاب الصيام، باب فضل شهر رمضان، الحديث-1079}

✒HADEES:
Hazrat ibne ABBAS Se Riwayat Hai Jab Ramzan Ka Mahina Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم Tamam Qaidyon Ko Riha Farma Dete Aur Har Mangne Wale Ko Ata Farmate
{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان، ج-3، ص-311، الحديث-3629}

✒HADEES:
Hazrat Salman Farsi Kehte Hain Huzoor Ne Shaban Ke Akhri Din Waz Farmaya,,, Farmaya Ki Aye Logon Tumhare Pas Azmat Wala Barkat Wala Mahina Aaya Wo Mahina Jisme eik Raat Hazaar Mahino Se Behtar Hai,,, iske Roze Allah Ne Tum Par Farz Kiye, Aur iski Raton Me Qayam (namaz Padhna) aur jo isme Neki Ka Koi Kaam Kare To Aisa Hi Hai jaise kisi Aur Mahine Me Farz Ada Kiya…
Aur isme Jisne Farz Ada Kiya Aisa Hi Hai Jaise Aur Dino Me 70 Farz Ada Kiye…. Ye Mahina Sabr Ka Hai Aur Sabr Ka Badla Jannat Hai, aur Ye Mahina Hamdardi Ka Hai, is mahine Me Momin Ka Rizq Badha Diya jata Hai.. aur jo isme Roza Dar Ko aftar Karaye uske Gunaho Ke Liye Magfirat Hai, aur uski Gardan Aag (Dozakh) Se Azad Hogi.. aur aftar Karane Wale Ko Aise Hi Sawab Milega Jaisa roza rakhne Wale Ko Milega….. hum Ne (sahaba ne) pucha Ya Rasulullah Hum Me Har Shakhs Wo Chiz Na Pata Ki Rozadar Ko Aftar Karaye, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Allah pak Ye Sawab Har Us Shakhs Ko Bhi Dega Jo eik Ghunt Doodh Ya Eik Khajoor Ya Eik Ghunt pani Se Roza Aftar Karwaye…
Aur Jisne Rozadar Ko Bhar Pet Khana Khilaya Use Allah Pak Mere Hauz (hauze kausar) Se pilayega Aisa Ki Kabhi Pyasa Na Hoga Yahan Tak Ki Jannat Me Dakhil Hoga.. Ye Wo Mahina Hai Jiska Awwal (10 din) Rehmat, jiska Awsat (11 se 20 din) Magfirat, jiska Aakhir {21 se akhri tak) Jahannam Se Azadi Hai.. Jo is Mahine Me Apne Gulam (kaam karne wale.nokar chakar mazdoor) Par Kaam Me Takhfeef (kami) Kare Allah Tala Use Bakhsh Dega Aur Jahnnam Se Azad Farmayega.
{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان المبارك، ج-3، ص-305، الحديث-3608}
Allahu Akbar Kabeera, Is Mahine Ki Ahmiyat Ka Andaza Lagaye Ki iske Aane Se Qabal Hi Huzoor Iski Barkato Aur Rehmaton Ko zikr Farma Rahe Hain Aur isme kiye Jane wale Sawab Ke Kaam irshad Farma Rahe Hain…. Subhan’Allah Isse Badh Kar Ramzan Ki Azmat Aur Kya Hogi Ki iske Ahtemam Ko Allah Ke Mehboob Paigambar Hamare AAQA O MAULA Bayan Farma Rahe Hain….
Allah Pak Hum Sab Ko Ramzane Kareem Ki Qadr Karne Aur usme Kasrat Se IBADAT Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye……
*Hadith: “Jab aap Mey se koi ROZE se ho, tou usko Roza KHAJUR k saath kholna chahiye aur agar Khajur NAA ho tou, Paani se. “- ABU DAWOOD
•ROZE K MUTALIK KUCH ZARURI MASAIL

Unn Cheezon Ka Bayan Jis Se Roza Na Tootta-
✒Masla- Bhool Kar khaya, piya, hum bistari ki, rozah na toota chaahe wo rozah nafli ho ya farz.
✒ Masla- Kisi rozdar ko bhool kar khaate peete dekhe to yaad dilana wajib hai, yaad na dilaya to gunehgar hoga.
✒ Masla- Makkhi Ya dhua, ya gubaar halaq me jane se rozah nahi tootta.
✒ Masla- Tel ya surma lagaya to rozah na toota agarche tel ya surma halaq me mehsoos hota ho balke thook me surne ka rang bhi dikhayi deta ho jab bhi nahin tootta.
✒ Masla- Gusl kiya aur pani ki thandak andar mehsoos hui, rozah nahi toota.
✒ Masla- Kulli Ki aur pani bilkul phek diya sirf kuch tari munh mein baaki reh gayee thi, thook ke sath use nigal gaya, rozah nahin toota.
✒ Masla- Kaan me pani chala gaya rozah nahi toota.
✒ Masla- Tinke se kaan khujaya aur uss tinke par kaan ka mayl lag gaya phir wahi mayl laga hua tinka kaan mein daala agarche chand baar kiya ho, rozah na toota.
✒Masla- Daanton se khoon nikalkar halaq tak pahuncha magar halaq se niche na utra to rozah na toota aur agar halaq se niche utra magar itna kam tha k halaq mein mazah mehsoos na hua jab bhi rozah na toota.
✒ Masla- Thook, Balgum, naak ki reet wagairah nigalne se rozah nahin toota.
✒ Masla- Bhoole se Khana kha raha tha yaad ate hi fauran luqma phek diya ya subha sadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi ugal diya, rozah na gaya aur Nigal gaya to dono surton me rozah jata raha.
✒ Masla- Ehtlaam(night fall) hua ya geebat ki to rozah na gaya agarche geebat bahut sakht kabeera hai.
Quran e majid mein geebat karne ki nisbat farmaya jaise apne murda bhai ka gosht khana( surah- e- hujraat aayat 12)
Aur Hadees mein farmaya geebat zina se bhi sakht tar(bahut sakht) hai agarche geebat ki wajah se roze ki nooraniyat jati rehti hai.
✒Masla- Janaabat( Napaki) ki halat mein subha se agar saara din naapak raha, rozah na gaya magar itni der tak qasdan gusl na karna k namaz qaza ho jaye gunah wa haraam hai. Hadees mein hai k junub (napaki) jis ghar mein hota hai usme rehmat ke farishte nahin aate.
✒ Masla- Daanton me koi cheez chane se kam thi aur use nigal gaya, rozah na toota.
✒ Masla- Injection gosht mein lagwaya jaaye ya rag mein,dono surton mein rozah na tootega.
✒ Masla-Ankhon me dawa dalne se rozah nahi tootta.
✒Masla- Khoon Nikalwane ya chadhwaane se rozah nahin tootta isi tarah glucose
Chadhane se bhi nahi tootta.
✒ Masla- Qasdan qai(ulti) ki, agar munh bhar na ho to rozah na tootega.
✒ Masla- Be ikhtiyar qai(ulti) ho gayi to thodi ho ya zyada, rozah na toota.
✒ Masla- Khud bakhud ulti huyi phir use nigal gaya to agar munh bhar na ho rozah na tootega.
✒ Masla- Balgum ki qai kitnihi ho usse rozah na tootega.
✒ Masla- Rozedar ke jism par zakhm hai aur usse peep baha to rozah na gaya.
✒ Masla- Roze ki haalat me itr lagaya ya usko soonga ya phool soongha ya baal katwaya ya nakhun kaata ya sar ya badan me kisi aur hisse par baam ya tel ki maalish ki ya powder wa cream wagairah lagaya to inn sab sutton me rozah na gaya.
✒ Masla- Roze Ki Halat me ankh ka operation karaya ya aur kisi azu(parts) ka operation karaya,rozah na gaya.
✒Masla-Aansu ya paseena munh mein chala gaya aur use nigal gaya to agar qatra 2 qatra hai rozah na toota.
book-Fazail wa masaile Ramzanul mubarak ,written by Hafeez Dilshad Ahmed sahab qadri(mahim sharif) under supervision of Mufti Mehmoodul ulama Mufti Mehmood Akhter Razvi Sahab Qibla khatib o Imam Haji Ali Kinaara masjid
•Part-3.
“RAMZAN SPECIAL”

✒HADEES:
Jannat Me 8 Darwaze Hain Unme Eik Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, us Darwaze Se Wahi Jannat Me Jayenge Jo Roza Rakhte Hain..
{صحيح البخارى، كتاب بدء الخلق، باب صفةابواب الجنة، ج-1، ص-394، الحديث-3257}

✒HADEES:
Roza Aur Quran Bande Ki Shafa’at karege.. Roza Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Khane Aur Khwahishon Se ise Din Me Rok Diya.. meri shafa’at iske HAQ Me Qubool Farma… Quran Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Raat Me Sone Se Baaz rakha Meri Shafa’at iske HAQ Me Qubool Farma Dono Ki Shafa’aten Qubool Hogi
{المسند، للإمام أحمد بن حنبل، ج-2، ص-586}

✒HADEES:
Aadmi Ke Nek Kaam Ka Badla 10 Se 700 Tak Diya Jata Hai… Allah Tala Ne Farmaya Magar Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi uski Jaza Dunga… Banda apni Khwahish Aur Khane Ko Meri Wajah Se Chhod Deta Hai… Rozadar Ke Liye 2 Khushiyan Hain Eik iftar Ke WAQT Aur Eik Apne Rab Se Milne Ke WAQT Aur Rozadar Ke Muh Ki Boo Allah Ke Nazdeek Mushk Se Pakizah Hai… Aur Roza Dhaal Hai (admi ke liye Bachao ka Hatiyar) Aur Jab Koi Roze Se Ho To Be-hudah Na Bake Na Chillaye… aur jab Koi Rozadar Se Gali Galoch Kare Ya Ladne Ko Aaye To Kahe Mai Roze Se Hun
{مشكاة المصابيح، كتاب الصوم، الفصل الأول، جلد-1، صفحہ-541، الحديث-1959}

✒HADEES:
Jisne Allah Ki Riza Ke Liye eik Din Ka Roza Rakha Allah Pak Use Jhannam Se itna Door Kar Dega jaise Kawwa jab Bachcha Tha us WAQT Se udta Raha Yahan Tak Ki Budha Ho Kar Mara
{المسند، للإمام أحمد بن حنبل، الحديث-619}
Kawwa Bahot Lambi Umr Paata hai 100 saal tak Ya usse ziyadah… to wo apni umr me jitna utna Bachpn Se Budhape Tak Utne Fasle Par Allah Pak Rozedar Se Jhannam Ko Door Farma Dega…

✒HADEES:
Agar Kisi Ne Eik Din Ka Nafli roza (ramzan Ke ilawa) Rakha Aur Zameen Bhar Use Sona (Gold) Diya jaye Jab Bhi Uska Sawab Pura Na Hua… uska Sawab (sahi badla) To Qayamat Ke Din Hi Milega
{مسند أبي يعلي. الحديث-6104}
Subhan’Allah Hum Gunehgaron Ke Bakhshish Ke Kaise Kaise Saman Diye Gaye Aur Ab Bhi hum ise Pura Na Kare To kaisi Mehroomi Hai…..
Ye Sab Farman Allah Ke Mehboob Malike Kaunain Sultane Darain صلى الله عليه وسلم Ki Zubane AQDAS Se Jaari Huye Hain….. inki sachchai Pe Musalman Ko Pura YAQEEN Rakhte Huye Ramzane Kareem Me Apne Rozo Ko Pura Karna Hai.
(Insha’Allah)

•Part-4.
“RAMZAN SPECIAL”
Part-1 To 3. Tak padh len..

✒HADEES:
IBNE KHUZAIMAH Ne ABU
MASOOD Giffari Se Eik Taveel Hadees Riwayat Ki Usme Ke Kuch Alfaz Ye Hain……
Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Agar Bandon Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Chiz Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Hi Ho
{صحیح ابن خزيمة، كتاب الصيام، باب ذكر تزيين الجنة لشهر رمضان……إلخ، ج-3، ص-190، الرقم الحديث-1886}

Shariat Ki istelah Me Roza Kehte Hain Musalman Ka ibadat Ki Niyyat Se subhe Sadiq Se suraj Doobne Tak apne Aapko Qasdan (jante Huye) khane Peene Aur Jima (sohbat) Se Baaz rakhna…
Aurat Ko Roze Ke Liye Haiz O Nifas (m.s & bachcha paida Hone Ke Bad Jo khoon 40 din tak ata hai) se pak hona shart hai…..

✏Mas’ala:
Roze Ke 3 Darje Hain,
1-aam logo ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur jima Se Rokna..
2-Khas Logo Ka Roza kaan Ankh zaban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna,
3-khasul Khas Logo Ka Roza Ki Allah Ke Siwa apne Ko sab Se Juda Karna aur apni Tamam Tawajjoh Ko sirf Allah Ki Taraf Lagana
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-966}

✏Mas’ala:
Aurat Haiz O Nifas Wali Thi usne Raat Me Niyyat Ki Aur subhe Sadiq Se Pehle Haiz O Nifas Se Pak ho Gai To Roza Sahi Ho Gaya
{Bahar-e-shariat, Hissa -5, page-969}

✏Mas’ala:
Sehri Khana Bhool Gaya Aur Der Se Utha To Ab Zahwe kubra (suraj jab theek sar pe aajaye aur admi ka saya uske pairon me aajaye use zawal ya zahwe kubra aur nisfun”nahare shari kehte hain) Se pehle Niyyat Kar Le……..
Zahwe kubra Niyyat Ka WAQT Nahi Agar Khas Zahwe Kubra Ke WAQT Niyyat Ki To Roza Na hua.
{Durre Mukhtar, Volume-3, page-394}

✏Mas’ala:
Jis Tarah Aur Jagah bataya Gaya Ki Niyyat Dil Ke irade Ka Naam Hai Zaban Se Kehna Shart Nahi Yahan Bhi Wahi Murad Hai,,, magar Zaban Se Keh Lena mustahab (achcha) Hai, agar Raat Me Niyyat Kare To Yun Kahe….
“Niyyat Ki Mai Ne Allah Ke Liye is ramzan Ka Farz Roza Kal Rakhuga”
Agar Din Me Niyyat Kare To Yun Kahe…
“Mai Ne Niyyat Ki Allah Ke Liye Aaj Ramzan Ka Farz Rakhuga”
Niyyat Ke Alfaz Arbi Me Padhe…
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-968}

✏Mas’ala:
Din Me Niyyat Karte Waqt Ye Kahe Ki Mai Subah Se Rozedar Hun Agar Ye Niyyat Kare Ki Ab Se Hun To Roza Na Hua
{B.S volume-5, P-968}

✏Mas’ala:
Raat Me Niyyat Ki Aur Kha Pee Liya To Niyyat Khatm Na Hui Pehli Niyyat Hi Kafi Hai… phir Se Niyyat Zaroori Nahi.. bas Subhe Sadiq Se Guroobe Afatab Tak Na Khaye To Roza Bhi Ho Gaya
{Alamgiri, jild-1, page-195}

✏Mas’ala:
Jis Tarah Namaz Me Baat Karne Ki Niyyat Kee Magar Baat Na Ki To Namaz Nahi Tooti, isi Tarah Roze Me Roza Todne Ki Niyyat Se Roza Nahi tootega Jab Tak Roza Todne Wali Chiz Na Kare
{B.S volume-5, page-969}

✏Mas’ala:
Ramzan Ke Har Roze Ke Liye Nai (new) Niyyat Zaroori Hai….
Pehli Ya Kisi Tarikh Me Poore Ramzan Ki Niyyat Ki To Ye Niyyat Sirf Usi Eik Din Ke HAQ Me Hai Baqi Dino Ke Liye Nahi
{B.S volume-5, page-969}

GUZARISH. Roza Sehri aftari Taraveeh Aitekaf Zakat & Sadqaat Se Related Hi Questions Kare…
Aur Koi Baat Bhi Samajh Me Na Aaye To Plz Comments Me Puch Len (f.b users) & whatsapp Pe Puche…….
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••

•Part-5.
“RAMZAN SPECIAL”

Pehle Part-1 Se 4 Tak Padh Len…..

Jin Chizon Se Roza Nahi Toot’Ta Unka Bayan…..

✒Hadees:
Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai ki huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya…..
Jis Rozedar Ne Bhool Kar Khaya Ya Piya wo Apna Roza Pura Kare, Use Allah Ne Khilaya Aur Pilaya
{ Sahi muslim, Hadees No-1155}

✒HADEES:
3 Chizo Se Roza Nahi Toot’Ta,
1-Pachhna (Badan Se Fasid khoon nikalwana jise Hijama Bhi Kehte Hai}
2- Qaye (ulti, Jo Khud se Ho Qasdan Kiya Aur Muh Bhar Qaye Hui To Toot Gaya)
3-Ehtelam (sote Me Mani Ka Nikalna, Ya bemari Ya Boojh Uthate WAQT Nikal Jaye To Roza Nahi Toota Apne Haton Nikala To Toot Gaya)
{Tirmizi, jild-2, page-177, 719}

Fiqhe Hanfi Ki Roshni Me Roza Kin Kin Baton Se Nahi Toot’Ta Wo Zail Me Hain………..

✏Mas’ala:
Bhool Kar Khaya Piya Ya Jima (sex) Kiya To Roza Nahi Toota, chahe Roza Nafl Ho Ya Wajib Ya Farz
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-981}

✏Mas’ala:
Makhkhi Ya Dhuwan Ya Gubaar (dhool mitti) Halaq Me Jane Se Roza Nahi Toot’Ta chahe Wo Gubar Aate Ka Ho Ki Chakki Peesne Ya Chhanne Me Udta Ho,,, Ya Galle Ka Gubar Ho,, Ya Hawa Se Mitti Ud Kar Halq Me Paohchi agarche Rozadar hona Yaad Tha Magar Roza Nahi Toota… agar Khud Qasdan Dhuwan Paohchaya To Roza Toot Gaya Jabki Roza Dar Hona Yaad Ho phir Chahe Jis Chiz Ka dhuwan ho,,, Yahan Tak Ki AgarBatti Sulagti Thi Uske Qareeb Muh Kar Ke Naak se Dhuwa Khicha To Roza Toot Gaya…
Yun Hi HUQQA Peene Se Bhi Roza Toot Gaya… aur Rozadar Hona Yaad Tha Phir HUQQA Piya To Use Kaffarah Bhi Lazim Ayega (61 roze rakhne Honge)
{B.S volume-5}

✏Mas’ala:
Pachhna alagwaya Ya Tel (Oil) Ya surma Lagaya To Roza Na Gaya… agar Che Tel Ya Surma Ka Maza HALAQ Me Mahsoos Hota Ho Balki Thook Me Surma Ka Rang Bhi Dikhai Deta ho Jab Bhi Nahi Tootega
{Bahar-e-shariat hissa-5}

✏Mas’ala:
Bosa (kiss) Liya Magar Inzal Na hua (mani nahi nikli) To Roza Nahi Toota… Yun Hi Aurat Ki sharmgah Ki taraf Nazar ki Magar Hath Na Lagaya aur inzal Ho Gaya agarche Bar Bar Nazar Karne & jima Karne Ke Khayal Se inzal Hua agarche Der Tak Khayal Jamane Se Aisa hua In Sab Surton Me Roza Nahi Toota
{B.S Hissa-5}

✏Mas’ala:
Bhule Se Khana Kha Raha Tha Yad Aate Hi Luqma Ugal Diya To Roza Nahi Toota Aur Yaad Aate Huye Nigal Liya To Toot Gaya
{Alamgiri, jild-1, page-203}

✏Mas’ala:
Gusl Wajib Tha Isi Halat Me Sehri Kar Ke Roza Rakha To Roza Ho Gaya…. magar Sara Din Isi Halat Me Guzarna Ki Namaze Bhi Qaza hon Gunah O Haram Hai….
{Bahar-e-shariat, Hissa -5, page-984}
•KAB ROZA NA RAKHNE KI IJAAZAT HAI :-
Sahi Muslim shareef me ABOO SAEED KHUDRI RADIYALLAHU T’ALA ANHU se marwi hai ki 16we Ramzaan shareef ko HUZOOR E AQDAS SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM ke sath hum jihaad me gaye
hum me baaz ne Roza rakha aur baaz ne na rakha to na Rozadaar ne gair Rozadaar par aib lagaya aur na inhone unpar.

Mas,ala :- safar wa hamal aur bache ko doodh peelana aur marz aur budhapa aur khouf e halaak wa iqrah wa nuqsaane aql aur jihaad sab Roza na rakhne ke uzr hain
in wajahon se Roza na rakha to gunahgaar nahi.
[Durre Mukhtar]

Mas,ala :- Safar se muraad safare sharai hai yani itni door jane ke irade se nikale ki yahan se wahan tak teen din ki doori ho
chaahe woh safar kisi najaaiz kaam ke liye ho.
[Durre Mukhtaar]
[Najaaiz kaam karna aise bhi gunah hai aur Ramzaan me to aur zyada]

kuch logon ko dekha jata hai ki zara zara si maraz par Roza mana kar dete hain
itni bhi tameez nahi rakhte ki kis maraz me Roza nuqsaan dene wala hai aur kis me nahi.

Mas,ala :- Aurat ko jab haiz wa nifaas aa gaya to Roza jata raha,
Haiz se pure 10 din 10 raat me paak hui to baharhaal aane wale kal ka Roza rakhe aur kam me paak hui to agar subah saadiq hone me itna arsaa hai ki nahaa kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe aur agar naha kar faarig hone ke waqt subah saadiq chamka to Roza nahi.
[Aalamgeeri]

Mas,ala :- Bhook wa pyaas aisi ho ki halaak ka sahi khouf ya aql jati rahne ka andesha ho to Roza na rakhe.
[Aalamgeeri]

Mas,ala :- Roza todne par majboor kiya gaya to use ikhtiyaar hai aur sabr kiya to use arz milega.
[Raddul Muhtaar]
[Bahare shariat, jild 5, page 96]
•20 Rakat Taraveeh Par Jame Dalayel…………………..

**************************************************

•Part-8.
“Ramzan Special”

Ramzan Ka MUQADDAS Mahina Aalame Ruhaniyat Aur Meraje insaniyat Ka Mausame Bahar hai…
Iski Khas Ibadaton Me Din Ka Roza Aur Raat Ka Qayam (Yani Namaze Taraveeh) Badi Ahmiyat Ki Hamil Hai…. is Mahine Ki Barkaton Ka Ye Aalam hai Ki Isme Eik Nafl Ka sawab Farz Ke Barabar & Eik Farz Ka sawab 70 Farz Ke Barabar Kar Diya jata Hai…..
Huzoor Kahtamul Ambiya, Awwalul Ambiya, Afzal ambiya, Imamul Ambiya, Nabiyul Ambiya Yani Hamare AAQA O MAULA Janabe Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم is MUBARAK Mahine Me Kasrat Se ibadat Farmate Is Mahine Ki Aamad Se Pehle iski Fazilat O Ahmiyat Ko Sahaba Se Batate (jaisa Ki pichle Part me Hazrat Salman Farsi Ki Riwayat Me Guzra) Huzoor Alaihissalam Khud Bahot ibadat Farmate Aur Apne As’hab Ko iski Sakht Talqeen Farmate…..
Chunanche Hazrat Ummul Momineen Sayyedah Aisha Siddiqa Farmati hain.
✒HADEES:
Jab Ramzan Ka MAHINA Aata To Huzoor صلى الله عليه وسلم kamar (Himmat) Kass Lete, Aur Apne Bistar Par Tashrif Na Late… Yahan Tak Ki Ramzan Guzar Jata
{شعب الایمان للبيهقي، فضائل شهر رمضان، جلد-3، صفحہ-310}
Aur Aakhri Ashre Ke Bare Me Farmati Hain…
“Huzoor صلى الله عليه وسلم Akhri 10 Dino Me Jo Koshish Farmate (ibadat Ke Silsile Me) Wo BAQI Dino Me Nahi Farmate
{صحيح مسلم، باب الاجتهاد في العشر الأواخر……إلخ، جلد-1، صفحہ-382}

Bhala Sochiye Allah Ke Mehboobe Azam Jinke Sadqa O Taufail Allah Ne Sab Kuch Banaya Jinki Riza Aur Khushi Allah Ki Riza Aur Khushi Hai Wo To is Maahe Kareem Me Mahina Bhar Rat O Din Apne Rabbe Kareem Ki ibdat Baja Layen Aur Hum Gunaho Ke Pahad Aur Paap Ke Putle is Mahine Ki Qadr Na Kare.????
Is Maah Me Digar Mahino Se ibadato Ke Silsile Badha Diye Jate Hain. Jaise Roza Taraveeh Sehro iftar Sadqaat O Khairat Shabe Qadr Ka inaam Ye Pura Mahina Hi Aisa Hai ki isme Kasrat Se ibdat kee Jaye……….
Magar Afsos Musalmano Me eik aisi Jamat Bhi Paida Hui Jo Amal Me Kotah Deen ke usoolo Zawabit Aur Nizam Ke Badalne Pe Tuli hai…
Wo Deen Ko Aasan Kar Rahe Hai, Quran O Hadees Ka Naam Lekar Logo Ko Mazhab Ki Pabandiyon Se Azad Kiya Ja Raha Hai Apne Ko Ahlehadees (Hadis Wala) Kehte Hain Magar Sach Ye Hain Ki Ye Log Ahlehugees (har Waqt Gandagi Karne Wale) Hain …..
Jis Chiz Pe Amal Na Karna Ho Uske Bare Me Kehte Hain Kehte Hain Ye Sahi Hadees Se Sabait Nahi aur isi Tarah Hadiso Ka Sunnato Ka Ijmae Ummat Ka Aur Buzrugane Deen Ke Mamulaat Ka inkar Kiya Ja Raha Hai…..
Bina Topi Ke Namaz Padh Lee Kehte Hain Topi Zaroori Nahi, Sunnato Nafl Ko Chhod Diya Kehte Hain sahi Hadees Se Sabit Nahi, Hawa Bina Awaz Ke Nikle To Kehte Hain Wazu nahi Toot’ta, Aurat Ko 3 Talaq Dene Par Aurat Mard Pe Haram Ho Gai Bina Halala kiye Usse mard Ka Rishta Nahi Ho sakta Magar Ye Saheban Kehte Hain 3 Talaq Eik Hi Hai Aurat Naikah Me Baqi Hai,, itni Azadi itni Chhoot ke shaitan Bhi Piche Reh Gaya Ab To Had Hi Kar Dee Taraveeh jiski 20 Rakat Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ada Farmai Hazraate Khulafe Rashedeen Hazrat Abu Bakar & Hazrat Umar Hazrat Usman & Hazrat Ali Aur Tamam Sahaba O Tabaeen O Aimmah Mujtahideen O awliyae Kamileen O Salaf Saleheen Isi 20 Rakat Ke Qayel The Aur Har islami Mulk Me 1400 Saalon Se 20 Hi Rakat Hote Aai Hai Isi Par Kul ummate islam Ka ijamae Qattai Mun’aqid Hai jo kasrat Se Ahadees Aur Fuqhaye ummat ki Tas’rihaat Se Sabait Hai is 20 Rakat Ko In angrezi paidawar Ne 8 Kar Diya……
Aur Khud To 8 Padhte Hi Hain Magar Afsos Bhole Bhale Musalmano Ko 8 Padhne Ki Galat salat Be-Bunyad Riwayaat Dikha Kar 8 Padhne Par Majboor Kar Rahe Hain Aur Aise Oot Patang Msg Ka silsila social networking sites par Phaila Diya….
Goya ibleese Azam Ne Apne in Beton Ko Theka De Rakha Hai ummat Ko Gumrah Karne Ka….
{Ye Pura Mazmoon Meri Gair Matbua Kitab…. “PARDAH UTHA KE DEKHO” Ke Safah 145 Ka Hai, Aap Hazraat Koshish Kare ki meri Ye Kitab Chape}

Insha’Allah Kal Ke Part Se 20 Rakat Taraveeh Par Qaahir Dalayel Diye Jayege Jis kisi Gair Muqallid Ahlehugees Me Dam Ho Hamari Pesh Kar’Dah Riwayat Ko Galat Sabit Kare Aur muh Manga inam Leta Jaye……..
♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧
“Na Khanjar Uthega Na Talwar Unse….
Ye Bazu Mere Aazamaye Huye Hain.!!!!

**************************************************

Part-10
“Ramzan Special”
Part-9. Me Bataya Ja Chuka Hai Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Taraveeh Ki 20 Raka’at Sarahat Ke Saath Sabit Nahi…. Likin 20 Rakat Padhne Ki To Zaeef Hadees Milti Bhi Hai Magar 8 Padhne Ki Koi Hadees Hai Hi Nahi…. aur jis Tarah Huzoor Se Taraveeh Ki Muta’aiyyan Adad Sabit Nahi Usi Tarah Aap Se Taraveeh Ba-jamat Padhna Bhi Sabit Nahi Hai, Huzoor Ne Namaze Tarveeh Tanha Ada farmai Hai…
20 rakat jamat ke sath Ahde hazrat umar Farooq Me Shuru Hui, Ahlehugees Is 20 Ko Bid’ate Farooqi Keh Kar Manne Se inkar karte Hain, hum in aqal ke Dushmano Se Puchna Chahte Hain Agar 20 rakat taraveeh hazrat umar ki Bid’at Hai To jamat Se Taraveeh Padhna kya Hai????
Tum Jo 8 rakat jamat Se Padhte Ho Kya Ye Huzoor Se Sabit hai?? Ye Bhi To Hazrat umar Hi ki sunnat hai….. (iska jawab ahle haggu hame zaroor den)
20 Rakat Tarveeh Par Hazraate Sahaba Ka Muttafaqa Amal…

HAZRAATE SAHABA KA AMAL SAHI SANADO SE.
✒ hazrat ubai Bin Ka’ab Se Riwayat Hai unhe Hazrat umar Ne Hukm diya Ramzan ki Raton Me Logon Ko 20 Rakat Taraveeh Jamat Se Padhyen
{مسند احمد بن منيع، بحوالہ اتحاف الخيرة المهرة للبو صری، باب في قيام رمضان، رقم الحدیث-2390}

✒ Hzrt Sayeb Bin Yazeed farmate Hain Ki Zamane Farooq & hzt usman Me Sahaba Ba-jamat 20 Rakat Taraveeh Padhte The.
{السنن الكبرى للبيهقي، باب ماروی في عدد ركعات القيام فی شهر رمضان، جلد-2، صفحہ-496}

✒ Hazrat Yazeed Bin Ruman Kehte Hain Log (sahaba/tabaeen) hazrat umar Ke Zamane Me 23 Rakat Padhte The, 20 taraveeh 3 Vitr
{موطأ امام مالک، باب ما جاء في قيام رمضان، صفحہ-98}
3re khalifah Hazrat Usman ke Daur Me Bhi Taraveeh 20 Hi Thi,
✒ hazrat umar ke zamane me log (sahaba & tabeen) 20 rakat taraveeh padhte The aur hazrat usman ke daur Me Lambe Qayam ki wajah Se Lathiyon Ka Sahara Lete The….
{أيضاً}
4the Khalifa Hazrat Ali Ke Daur Me Bhi Taraveeh 20 Hi Thi.
✒ hazrat Abul Hasnaa Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali Ne Eik Shakhs ko Ramzan Me hukm Diya Ki Wo Logo Ko 20 Rakat Taveeh Padhaye
{مصنف ابن ابی شیبہ، باب كم يصلي في رمضان من ركعة ؟ جلد-5، صفحہ-223، رقم الحدیث-7763}

Hazraate Khulafae Rashideen Ka Amal To 20 Rakat Taraveeh Par Tha Hi Unke ilawa Bade Bade Sahaba Tabaeen Bhi isi Ke Qayel The, is silsile Me Ba-kasrat Riwayaat Maujood hain Magar chand Pesh Hain……
✒ hazrat Abdullah Bin Masood Ramzanul Mubarak Me Hame Taraveeh Padhate, hadees Ke Rawi imame Amash Kehte Hain Aap 20 Rakat Taraveeh & 3 Rakat vitr Padhate
{قيام الليل للمروزی، صفحہ-157}
Hazrat Ata Bin Abi Ribah Jalilul Qadr Tabaie Hain Aapne 200 Sahaba Ki Ziyarat Kee,
(tehzibut tehzeeb li ibne hajar, Volume-4, page-488) Wo farmate Hain,
“ادركت الناس وهم يصلون ثلاثا و عشرو ركعة بالوتر”
Mai ne Sahaba Wa Tabaeen Ko 20 Rakat Tarveeh & 3 Vitr padhte Paya
{مصنف ابن ابی شیبہ، كم يصلي في رمضان من ركعة، جلد-5، صفحہ-224، رقم الحدیث-7770}

AIMMAH ARBAH KA AMAL MUSTANAD RIWAYAAT SE..

Huzoor Ki Sunnato Aur Sahaba Ke Tariqon Ki Jis Ahsan andaz Me Aur Tafseel Ke Sath 4 imamo Ne Tadveen Ki wo ummat Me Kisi ke hisse me nahi Aai,,, isi Liye Puri Ummat inhi 4 imamo ki Rehnumai Me huzoor Ki sunnato Pe Amal Kar Rahi hai…..
4ro imam 20 Rakat Taraveeh ke Hi Qayel The,

In 4ro Me Sab Se Bade imam Huzoor imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Koofi رضي الله عنه 20 Rakat taraveeh Ke Qayel Hain..
{بداية المجتهد، جلد-1، صفحہ-214}

2 No. Ke imam, imame Darul hijrat Saydna imam Malik رضي الله تعالى عنه 20 Rakat Taraveeh Ke Qayel The
{بداية المجتهد، جلد-1، صفحہ-214}

3.No Ke imam Sayedna imam Muhammad Bin idrees shafai رضی اللہ تعالٰی عنہ farmate Hain.
Mujhe 20 Rakat Taraveeh Pasand Hai makkah Me Bhi 20 Hi Padhte Hain,
{قيام الليل للمروزی، صفحہ-159}

4.No Ke imam ABU ABDULLAH Ahmad Bin Hambal رضی اللہ تعالٰی عنہ Ke Bare Me DAQQAQ Alim Jo fiqhe Hanfi Ke Tarjaman Hain, IMAM IBNE QIDAMAH HAMBALI Likhte Hain, imam hambal Ke Nazdeek Mukhtar aur rajeh 20 Rakat Taraveeh Hi Hai,,, imam Sufyan Suri imam abu hanifah Imam Shafai Bhi 20 Hi Ke Qayel The.
{المغني لابن قدامه، جلد-2، صفحہ-366، مسئلہ نمبر-247}
Yaqeen Janiye is silsile Me is Qadar riwayat amale sahaba wa tabeen Se Hai Ki likhne Par Aaun To Kitabo Ke Dher Lag Jayen……..
Magar Misl mash’hoor Hai,
“AQAL MAND RA ISHARA KAFI AST”
AKheer Me Faqeer Kaleem Razvi Ahlehugees Ke Shaikhul islam ibne Taimiyah Hambali Jinki Har Baat Pe Ye Gair Muqallideen AMANNA WA SADDAQNA Kehten Hain Aur Jaan fida karte Hain Aur jinke Ye G.M Andhe muqallid Hain Lijiye 20 Rakat Pe unhi Ka Na Qabile Tardeed Hawala.

“فانه قد ثبت ان ابى بن كعب، كان يقول الناس عشرين ركعة في قيام رمضان ويو تر بثلاث فرائ كثير من العلماء ان ذالك هو السنة لانه اقامه بين المهاجرين والأنصار ولم ينكره منكر”

Tarjama- Ye Baat sahi sand Se Sabit Hai Ki Hazrat Ubai Bin Ka’ab Sahaba Wo Tabeen Ko Ramzanul Mubarak Me 20 Rakat Tarveeh Aur 3 Witr Padhate The, lihaza Bahot Se Ulma isi ko sunnat Qarar Dete Hain, Q ki Hazrat Ubai Bin Ka’ab Ne Hazraate ANSAR O MUHAJIREEN Ki Maujdoogi Me 20 Rakat Padhai Thi Kisi Ne Iska inkar Nahi kiya
{FATAWA IBNE TAIMIYAH, Volume-23, Page-112}

•Part-11.
“Ramzan Special”
Masayele Zakat O Sadqate Fitr Ka Mufassal Bayan Shuru Se….

Allah Rabbul izzat Quran E Majeed Burhane Rasheed Me irshad Farmata hai.
“QURAN”
Neki iska Naam nahi Ki Tum Apna Muh Mashriq Ya Magrib Ki Taraf Karo, neki To uski Hai Jo Allah Aur Pichle Din (Qayamt) Aur Malayekah (farishton) Aur Kitab (jo asman se utri) Aur Ambiya (hzt adam se huzoor Tak) Par iman Laya.. aur Maal Ki Mohabbat Par Rishtedaron Aur Yatimon Aur Miskino Aur Musafir Aur Saaileen Aur Gardan Chhudane Me Diya… Aur Namaz Qayam Kee Aur Zakat Dee, aur Nek Wo Log Hain Jab Koi Moahedah Kare To Apne Ahed (wade) Ko Pura Kare, aur Takleef Aur Musibat Ke WAQT Sabr Karne Wale, wo Log Sachche Aur Wahi Log Muttaqi Hain.
{Tarjama Kanzul iman sharif, Para-2, Sure Baqrah ayat-177}

“QURAN”
Jo Log Sona & Chandi Jama Karte Hain Unhe Dardnak Azab Ki Khushkhabri Suna Do, jis Din Jahannam Ki Aag Me Wo Tapaye Jayenge, aur unse Unki Peshaniyan Aur Karwaten Aur Peethe Dagi Jayengi Ye Woh Hai Jo Tum Ne Apne Nafs Ke Liye Jama Kiya Tha, To Ab Chakho Jo jama Karte The,
{PARA-10, SURE TAUBAH AYAT-35}

Apne Malo Ki Zakat Na Dene Walo Par Kis Tarah Ka Azab Hoga Huzoor Nabiye Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshad Suniye…

✒HADEES:
Jo Sone & Chandi Ka Malik Ho Aur uska HAQ Ada Na Kare To Jab Qayamat Ka Din Hoga uske liye Aag Ke pattar Banaye Jayenge…
Unpar Jahnnam Ki Aag Bhadkai Jayegi, aur unse uski karwat aur peshani aur peeth dagi jayengi, jab thande Hone Par Ayge Phir Waisa hi Kiya Jayega… Ye mamla us Din Ka Hai Jiske Eik Din Ki MIQDAR 50000 Saal Hai (Qayamat Ka Din) aur Oontun Ke Bare Me Farmaya Jayega jo uska HAQ Ada nahi Karta Qaymat Ke Din Use Eik Khule Maidan Me Litaya Jayega Aur Wo Oont mote Mote Hoke Aayge Aur use Pairon Se Kuchlege aur Danton Se Katege, jab Oonton Ki Jamat Khatm Hogi To Phir Gaye (cow) & Bakriyan aayengi aur Apne Seengon Se Maregi Aur Khuron Se Rondegi
{صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب زكاة البقر، جلد-1، صفحہ-492، الحديث 1460}

✒Hadees:
Huzoor Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Farmate Hain, Jo Qaum Zakat Ada Nahi Karti Wo Qahet Me Mubtela Hogi (tarah tarah ki bimariyan aasmani Afaten Khuskh saali wo deegar masayeb)
المعجم الأوسط، جلد-3، صفحہ-276، الحديث-4577.

✒Hadees:
Hazrat Umar Farooq Se Riwayat Hai Huzoore Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshade Aali Hai,
Jo Maal Kushki (zameen pe) aur Tari (Pani Me) Talf (barbad) Hota Hai Wo Zakat Na Dene Se Talf Hota Hai.
الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، الترهيب من منع الزكاة، جلد-1، صفحہ-308، الحديث-16.

************************************************

•Part-12.
“Ramzan Special”
Zakat Na Dene Ke Azabat Aur Zillaten Huzoor Nabiye Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Ki Roshni Me…..

✒Hadees:
Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayege Magar Maal Daron Ke Hathon,
To Aye Maldaro Sun Lo, Allah Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega
الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، جلد-2، صفحہ-275، رقم الحدیث-5.

✒Hadees:
Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Eik wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se Allah Ka HAQ Ada Nahi Kiya
صحیح ابن خزيمة، كتاب الزكاة، باب ذكر إدخال مانع الزكاة النار…..إلخ، جلد-4، صفحہ-8، الرقم الحديث-2249.

✒Hadees:
Sahi Sanad Se Ye Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai Farmate Hain, hame Hukm hua Namaz Padhe Zakat Den, jisne Zakat Na Dee uski Namaz Qubool Nahi
المعجم الكبير، جلد-10، صفحہ-103، الرقم الحديث-10095.

✒Hadees:
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Eik Martaba Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Khutba Padha Aur Farmaya……
Qasam Hai Uski (Allah Ki) jiske Hath Me Meri Jaan Hai, isko 3 Baar Farma Kar Sar Ko Jhuka Liya, To Hum Sab Ne Sar Jhuka Ke Rona Shuru kiya, hame Ye Nahi Maloom Huzoor Ne Qasam Kyu Khai, Phir Huzoor Ne Apna Sare Mubarak Uthaya To Chehre Par Khushi Ke Aasar jhalak Rahe The, To Hame Ye Baat Laal Oont Se Ziyadah Pyari Maloom Hui, Aap صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya, Jo Bandah 5 WAQT Ki Namaz Padhta Hai, Ramzan Ka Rozah Rakhta Hai & Zakat Deta Hai, Aur 7 Bade Gunaho Se Bachta Hai Uske Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Hukm Hota Hai Salamti ke Saath Dakhil Ho Ja
سنن النسائي، كتاب الزكاة، باب وجوب الزكاة، صفحہ-399، الرقم الحديث-2435

✒Hadees:
Hazrat ALQUMA Kehte Hain Huzoor Ne Farmaya….
Tumhare islam Ka Pura Hona Ye Hai ki Apne Malon Ki Zakat Do
مجمع الزوائد، كتاب الزكاة، باب فرض الزكاة، جلد-3، صفحہ-198، الرقم الحديث-4326.

✒Hadees:
Hazrat Abdullah ibne Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne…..
Jo Allah O Rasool Pe imam Laya, Wo Apne Maal Ki Zakat Ada kare, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo HAQ Bole Ya Chup Rahe Lekin Buri Baat (Gali/Galoch/jhagda) Zaban Se Na Nikale, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo apne Mehman Ki Izzat Kare
المعجم الكبير، جلد-12، صفحہ-324، الرقم الحديث-13561.

In Tamam Muqadsas irshadat Ko Padhne Ke Bad Bhi Koi Kam Naseeb Zakat Ki Ahmiyat Ko Na Samjhe Aur Apne Maal Ko Burai Se Azab Se Pak Na Kare To Us Badbakht Ka Kya ilaj ?
Kis Qadar Afsos Ka MAQAM Hai Ki Is pak Mahine Me Kitne Musalman Aise Hain jinke Ghar Chulha Nahi jalta Aur Koi To Wo Hai Jiske Pas Rakhne Ki Jagah Nahi Magar use YE TAUFEEQ Nahi ki un Garibon Nadaron Mufliso Ki Khabar Le…..
Aaj Arab Mamalik Me Daulat Ki Rel Pel Hain Aur Barre Sageer Me Lakhon Musalman Bhukmari Ke Shikar Hain imaan O islam Ke Baland O Bala Naare Lagane Wale Kabhi inki Bhi Khabar Le…..
Hum musalman Hain Hamara Har Farz Se Bada farz Allah O Rasool Ke faraman Ke Aage Sar Kham Krna Hai Hame musfliso Nadaron Garib Yateem Bewa Bekas Lachar Musalmano Ki Khabar Leni chahiye Insha’Allah ispe Amal hua To Amaan hi Amaan Qayam Hoga.

*******-********-*-*************—***************-

Part-13.
“Ramzan Special”

✒Hadees:
2 Aurten Huzoor Ki Khidmat aqdas me Hazir Hui, Unke Haton Me Sone Ke Kangan The.. huzoor Ne irshad Farmaya Kya Tum inki Zakat Ada Karti Ho ?
Arz ki Nahi,
Aapne Farmaya Kya Tum Pasand Karti Ho Ki Allah Tume Aag Ke Kangan Pehnaye ?
Arz Ki Nahi….
Farmaya To Zakat Ada karo
{جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ما جاء في زكاةالحلی، جلد-2، صفحہ-132. الرقم الحديث-637}

Tareef:
Allah Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka Musalman Faqeer Ko Malik Banana zakat Kehlata Hai,
Magar wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam, aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul juda Kar Le,

✏Mas’ala:
Zakat Farz Hai Uska inkar Karne Wala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl Ka Mustahiq, Aur Dene Me Der Karne Wala Gunehgar, Aur Mardudushsha’hadah Hai (yani agar wo kisi mamle me Gawahi De To uski Gawahi Nahi Mani Jayegi)
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب الأول، جلد-1، صفحہ-170}

✏Mas’ala:
Zakat Me Malik Banana Zaroori Hai, sirf Mubah Karne Se Zakat Ada Nahi Hogi, Masalan Faqeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khana Khilaya To Zakat Ada Na Hui ki Malik Kar Dena Nahi Paya Gaya, Haan Agar Khana Diya Chahe To Khaye Ya Le Jaye To Ada Ho Gai, isi Tarah Zakat ki Niyyat Se Kapda Diya Ya Pehnaya, To Ada ho gai
{بهار شریعت، حصه-5، صفحہ-874}

✏Mas’ala:
Zakat Wajib Hone Ki Kuch Sharten Hain,
Musalman Hona.
AAQIL (AQL WALA) HONA.
BALIG HONA.
AZAD HONA.
MAAL KA NISAB KO PAHOCHNA AUR WO USKE MILK (QABZE) ME HONA.
Nisab Ka Den (Qarz) Se farig Hona.
Nisab Ka Hajate Asliya Se Farig Hona.
HAOLANE HAOL (Maal Pe Eik Saal Guzarna)
{Kutbe fiqah}

✏Mas’ala:
Jo Maal Girwi Rakha gaya Uski Zakat Na Rakhne Wale Par Na Jiske Pas Rakha Uspe Na utne Zamane Ki Jitne Zamane Wo girwi Raha…
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-877}

✏Mas’ala.
Koi Shakhs Qarazdar Hai Aur Qarza Chukane Ke Bad Uske Pas Nisab ke Barabar Maal BAQI Nahi rehta to uspe Zakat Nahi
{Fatawa Hindiya, Volume-1, page-172}

✏Mas’ala:
Zakat 3 Hi Qism Ke Maal Par Hai,
Sona Chandi,
Tijarat Ka Maal,
Saymah Charai Pe Chute Huye Janwar.
(Kutbe fiqah)

Eik Zaroori Masla……..
Aap Jo Aksar Unte Hain 7.5 Tola Ya 52.5 Tola chandi Pe Zakat Ka Nisab Hota Hai Aur itna Maal jiske Pas Ho uspe Zakat wajib Hai,
But Ye Hisab Shariat Ka Hai New Zamane me iska Wazan Is Tarah Hoga…. 7.5 Tola Ka New Aitebar 87gram sona hoga 8.Tola 7.Gram usi pe zakat wajib hai usse kam pe nahi, aur jiske pas Aaj Ke Hisab Se 612gram chandi hogi usi pe zakat wajib hai usse kam pe nahi….

*******———-*——–+++—-++—-++—+++–

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm