Islamic Blog

Shiraaz ke ek Buzurg Hazrat Faash farmate hain…

“mere yaha ek bachcha paida hua aur mere paas kharch ke liye kuch bhi na tha, mausam bahot sardi ka tha, Main isi fikr mein so gaya to khwaab mein Rasoolallaaah (sallallaahu alaihi wasallam) ki ziyarat naseeb huyi,

Rasoolallaaah sallallaahu (sallallaahu alaihi alaihi wasallam) ne farmaya “kya baat hai?”

Maine arz kiya “Huzur ! Kharch ke liye mera paas kuch nahi, bas isi fikr mein tha”

Huzar (alaihis’salaam) ne farmaya “subha falaa majusi ke ghar jaana aur usse kehna Rasoolallaah (sallallaahu alaihi wasallam) ne tujhe kaha hai ki 20 dinar tujhe dede”

(NOTE: Aag ki pooja karne wale ko majusi kehte hain)

Hazrat Faash subha uthy to hairaan huye ki ek majusi ke ghar kaise jaun aur Rasoolallaah (sallallaahu alaihi wasallam) ka Hukm waha kaise sunaun….

Aur fir ye baat bhi sach hai ki khwaab mein Huzur nazar aayen to wo Huzur (alaihis’salaam) hi hote hain…

isi kash-ma-kash mein wo din guzar gaya aur fir dusri raat, fir Huzur (alaihis’salaam) ki khwaab mein ziyarat hui,

Aur Huzur (alaihis’salaam) ne farmaya “Tum is khayaal ko chor do aur us majusi ke paas jaa kar mera paighaam pahuncha do”

Hazrat Faash subha uthy aur us majusi ke ghar chal pade,

Kya dekhte hain ki wo majusi apne haath mein kuch liye huye darwaze par khada hai…

Jab Hazrat Faash uske paas pahunche to kyuki wo majusi unko jaanta nahi tha aur ye pehli baar uske paas aaye thy, is liye kuch kehne se sharma gaye…

Wo majusi khud hi bol pada “Bade Miya ! Kuch haajat hai?”

Hazrat Faash bole “haa ! Mujhe Rasoolallaah (sallallaahu alaihi wasallam) ne ye keh kar bheja hai ki tum mujhe 20 dinar de do”

Us majusi ne apna haath khola aur kaha “to lijiye ye 20 dinar maine aap hi ke liye nikaal rakhe thy aur aap ki raah dekh raha tha”

Hazrat Faash ne wo dinar le liye, aur us majusi se poocha “Bhai main to Rasoolallaah (sallallaahu alaihi wasallam) ko khwaab mein dekh kar yaha aaya hu, magar tumhe mere aane ka kaise ilm ho gaya?”

Majusi ne kaha “maine raat mein aisi-aisi shakl-o-Surat ke ek Noorani Buzurg ko khwaab mein dekha hai, unho ne mujhse farmaya ki ek shakhs saahib-e-haajat hai wo kal tumhare paas pahunchega, usy 20 dinar de dena”
To bas main ye 20 dinar le kar tumhare hi intezaar mein tha.

Hazrat Faash ne jab us majusi ki zubani raat mein khwaab mein milne wale Noorani Buzurg ka Huliya suna to wo Rasoolallaah (sallallaahu alaihi wasallam) ka Huliya Mubarak tha…

Hazrat Faash ne usse kaha “yahi Rasoolallaah (sallallaahu alaihi wasallam) hain”

Us majusi ne ye waqeya sun kar thodi der socha ! Fir kaha “mujhe apne ghar le chalo”

Wo majusi Hazrat Faash ke ghar aaya aur Kalma padh kar Musalmaan ho gaya.
Fir uski biwi, Bahen aur uski aulaad bhi Musalmaan ho gayi.

(Shawaahid-ul-Haq)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)