Hadees– Hazrat abdullah bin amr radiallahu ta’ala Anhum raavi hain ko Rasulallah sallallahu ta’ala alaihi wasallam ne rishwat dene wale aur rishwat lene wale dono par laanat farmayi.
(Mishkat Jild 2 safa 326)
Tabsara-kisi batil ko haq thahrane kisi haq ko baatil thahrane ke liye jo Raqan ya saman ko Liya diya jaye wah rishwat hai. Khwah usko mehnatana kah kar liya jaye ya inaam wa bakhshish kah kar liya jaye baharhal rishwat haram wa najaiz hai aur rishwat dene aur lene wale dono duniya wa akhirat me azaab ke haqdar hain. Aur dono par rahmate alam sallallahu ta’ala alaih wasallam ne lanat farmayi hai. Lekin agar ape jayaz haq ko lene ke liye apne oopar se zulm dafa karne ke liye majburan kisi ko kuchh dena pade to dene wale par koi gunaah na hoga lekin lene wale se duniya wa akhirat me zarur muaakhza hoga. Kyuki haqime waqt par laazim hai ki har haq wale ko uska haq dilaye. Aur mazloom ko zulm se bachaye aur uska muaawza na le.
SOurce : http://www.islamicpost.in/
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021