Islamic Blog

Roza Iftar ke Masail

1- Roza iftar karne k liye Guroob e aftab(sun set) hona shart hai.
Sahi Bukhari wo muslim.
2-Taza Khajoor, sookhe khajoor(chohara) pani se Roza iftar karna masnoon he.
3-Namak (salt)se Roza iftar karna sunnat se sabit nahi.
Hazrat Anas r.a. se riwayet hai nabi s.a.w.s. namaz magrib se pehle Taza khajoor se roza iftar karte ager Taza khajooren na hoti to sookhe khajoor(chohara) se iftar farmate ager Sookhe khajooren bhi na hoti to chand ghoot pani se hi iftar farma lete”
Hadees Hasan Sunan Abi dawood-2065.

4-Roza iftar Bimillah padh k shuru kare.
5- Roza iftar karte waqt neche di hui dua padhna masnoon hai(yani pani or khajoor kha k)
Hazrat Abdullah bin umer r.a. se riwayet hai k nabi s.a.w.s. jab roza iftar farmate to yeh dua padhte” Zhahabaz zama-o wabtallatil-AAurooq, wasthabatal- ajru in shaa Allah.”
Translation”Payas khatam ho gai, rage{vain} tar{wet} ho gai aur roze ka sawab insha Allah pakka ho gaya”
Sunan Abu Dawood-2066.
aaj yeh dua bohat kam log padhte hai ziyada tar logon ko pata hi nahi or ramzan time cards or books se aisi aisi duwa jo sabit nahi woh logon k beech faily hai jo sahi nahi jaise”Allah humma laka sumto wala rizk ka aftarto… yeh dua sahi nahi he.

6-Kisi ko Roza Iftar karwane wale ko utna hi ajar swab mile ga jitna roze rakhne wale k baraber.
Hazrat zaid bin khalid r.a. kehte hai Rasool Allah s.a.w.s. ne farmaya “jis ne roza dar ko roza iftar karaya ise bhi utna hi ajar mile ga jitna ajar roza dar k liye ho ga or roza dar k ajar se koi kam no ho gi” Sunan tirmizi-648.
aap kisi ko ifatr karate ho ya apne yaha kisi ko iftar per dawat dete ho to jin jin roze dar aap k yaha roza kholne aai un sab ka roze ka swab bhi aap ko mile ga same. Aksar log ramzan me apne dost ya rishte daaron ko hi iftar dwat dete hai un ko chahiye nek , buzrug, hafiz Alim or muttaqi parhaiz gar logon ko bhi iftar ki dawat dena chahiye k un k din bhar k roze ka sawab hame mile per afso aaj kal log aise logon ko na dwat dete na ghar bulate hai.

7-Ager aap kisi k yaha roza iftar karne jao to ifatr ki dawat dene wale ghar walo k liye yeh dua padhni chahiye.
Hazrat Anas r.a. kehte hai rasool Allah s.a.w.s jab kisi k yaha roza iftar farmate to yeh dua dete” Aftara In dakumus saa-imuna wa akala taA makumul Abraru wa tanaz zalat Alaikumul mala ekatu” translation” Rozadar tumhare yaha roza iftar karte rahe, nek log tumhara khana khate rahe or farishte tumhare yaha rehmat le kar nazil hote rahe”Musnad Ahmed ki riwayet hai-Hadees sahi targeebu tehzeeb-rakam-993.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)