Roza Allah ki ibadat hai, roza
matlab sirf bhuka pyasa rahna
nahi hai,
Insan ke poore badan ka roza hota
hai
Aankha ka roza : Haram Na Dekho,
Kisi parai ladki ko na dekho,
movie na dekho,
Kaan ka roza : Music na suno,
agar koi kisi ki burai kar raha hai
to usko na suno. Kisi ke raaz ki
baato par kaan na lagao.
Zaban ka roza : Kisi ko gaali mat
do, Kisi ke peeth piche burai na
karo, kisi ko tana na maro, kisi ke
dil dukhane wali baat na kaho.
Haath Ka roza : Kisi ko na-jayaz
tatike se mat maaro, kisi par zulm
na karo, haath se koi bhi galat
kaam na karo.
Pair ka roza : Gunaho ke kaamo ki
taraf chal kar na jao.
Nafs Ka Roza : Apne dil ki
khwahishe gunaho ki taraf na
jaae.
Allah hum sabko sahi tarike se
roza rakhne ki taufik ata kare,
aameen.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022