Islamic Blog

Aksar dekha jaata hai ke log roza kholne ke time tak bazaar mein khane-peene ka saaman kharidte rahte hai…

roza kholne se pehle ka time bahut keemti hai, is time dua bahut jaldi kubul hoti hai. ALLAH is time Bando par khaas dhyan deta hai aur Dua puri karta hai… Allah farishton ko hukm deta hai ke mere bande ki dua par aameen kaho,

samandar ki machhliya bhi is time ki dua par aameen kahti hain, aur agar hum is keemti time ko bhi bazaar mein barbaad kar de to hamara hi nuksaan hai.

Islye agar ho sake to kharidaari kuch time pahle hi kar lo taake roza kholne se pahle ka time dua ke liye bach sake.

Isi tarah auraten bhi roza kholne ke time tak kuch na kuch pakati rahti hain, isliye koshish kariye azan se kam se kam 30 minute pahle aapke saare kaam khatam ho jaaen aur roza kholne se pahle ka keemti time aap dua maangne mein guzaren.

Allah hum sab ko amal karne ki taufeeq ata farmaye. Aameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm