Islamic Blog

Ramzaan ka roza kasdan tod dalne se kaffara lazim ata hai ! Roza todne ka kaffara ye hai ki ek laondi ya gulam azaad kare aur ye na ho sake to lagataar barabar 60 roze rakkhe agar ye bhi na kar sake to 60 miskino ko bhar pet dono waqt khana khilaye aur roza rakhne ki surat me agar bich me ek din ka bhi roza chut gya to ab se 60 roze rakkhe paihle ki ginti nahi ! 59 rakh chuka tha aur 60 na rakh saka bimari wagairah kisi uzr se,to fir se 60 pure lagatar rakkhe ! Paihle ke 59 nahi hue Albatta aurto ko agar haiz aa jaye to haiz ki wajah se jitne nage hue ya nage nahi gine jayege yani paihle ke roze aur haiz ke baad wale roze dono milakar 60 ho jane se kaffara ada ho jayega ! Roza todne se kaffara lazim ane ki chand sharte hai jab ye sab payi jayegi tab kaffara lazim ayega warna nahi.
(QANOON-A-SHARYAT PAGE NO181)

KAFFARA LAZIM HONE KI SHART
===========================
1. RAMZAN ke mahine me RAMZAN ka ROZA ada karne ki niyat se ROZA rakkha ho.
2. ROZDAR mukim ho musafir na ho.
3. Mukallaf ho (yani akil balig ho ) to agar bacche ya pagal ne toda to kaffara nahi.
4. Raat hi se ROZA RAMZAN ki niyat ki ho to ( to agar usi ROZA ki jise toda din me niyat ki thi to uska kaffara nahi )
5. ROZA todne ke baad koi aisi baat apne ikhteyar se na payi gyi ho jis baat ki wajah se ROZA chorne ki ijazat hoti hai (Maslan haiz, nifas aa gya ya aisi badi bimariho gyi jisse ROZA na rakhne ki ijazat hai to kaffara lazim na ayega aur agar ROZA todne ke baad aisi chiz payi gyi jisse mazoor hua lekin ye chiz apne ikhtiyar se payi gyi jaise apne aap ko zakhmi kar liya ki mazoor ho gya ROZA rakhne ke qabilna raha ya musafir ho gya to kaffara sakit na hua isliye ki ye chiz ikhteyari hai to kaffara lazim raha)
( KANOON-E-SHARIYAT PAGE NO. 182)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm