Islamic Blog

Daanton se khoon nikal kar halaq se niiche utra aur khoon thook se zyada.. ya kam.. ya baraabar ( matlab jitna thook utna hi khoon ) tha.. magar..
*Us ka taste.. mazaa halaq mein mehsoos ( feel ) huwa to rozah jata raha.. ( agar mazaa na aaye to na toota )*
★ Rozah yaad tha fir bhi Huqna liya.. ya naak k zariye dawa chadhai.. to rozah jata raha..
*{1f53b🔻Huqna matlab.. qabz ki shikayat ki wajah se paakhaane ki jaga se..*
*pichkaari k zariye dawa chadana ya is jaga se batti chadana.. k pait saaf ho jaye }*
★ Awrat ne peshaab k maqaam mein rooi ( cotton ) ya kapda rakkha ( koi biimaari ya kisi bhi wajeh se ) *aur bilkul bahar na raha to rozah toot gaya..*
Aur sookhi ungli kisi ne paakhaane k maqaam mein rakkhi ya awrat ne sharamgaah mein rakkhi to rozah na gaya.. *aur agar ungli bhigi thi ya us par kuch laga ( koi ointment.. ya paani wali ) tha to rozah toot gaya.*
★ Agar rozahdaar hona yaad hai aur.. kulli kar rahe the k.. be khyaali mein paani halaq se utar gaya..
*Ya naak mein paani chadhaya aur dimaagh tak chadh gaya.. to tozah jata raha*
( Agar rozadaar hona yaad na ho to na toota.. *bl k yaad na hone par jaan boojh kar bhi aysa kare tab bhi na tootega* )
★ Rozedaar ki taraf kisi ne koi chiiz phenki aur rozah daar k halaq mein chali gayi.. to rozah jata raha.
★ Rozah daar so raha tha.. k nind ki halat mein paani pii liya ya kuch khaa liya..
Ya munh khula tha.. paani ka qatra ( tipa.. drop ) ya baarish ka ola halaq mein chala gaya.. to rozah jata raha.
★ Dusre ka thook nigal liya ya apna hi thook haath mein le kar nigal liya.. to rozah jata raha.
*{1f53b🔻jab tak thook ya balgham munh k andar ho aur nigal jaayein.. to rozah nahi jaata..*
*Aur baar baar thookte rehna zaroori nahi }*
*DURRE MUKHTAAR**RADDUL MOHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT**AALAMGIIRI*
*FAYZAANE RAMAZAAN*

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm