Islamic Blog

1-Geebat karna, jhoot bolna, gali dena, ladai jhagda karna roze ki halat me sab se bada na jayez kaam hai.
Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayet hai nabi s.a.ws. ne farmaya” Jo shaks roza rakh kar jhoot bolna is per amal karna nahi chohde to Allah tala ko is baat per koi hajat nahi k woh khana peena chohd de” Sahi bukhari.


2- Roze ki halat me behooda, fahash(vulgar) or jihalat ke kaam or baten Karna mana hai.
Hazrat Abu Huraira r.s. se riwayet hai kehte hai nabi s.aw.s. ne farmaya”roza khane peene se rukne ka naam nahi balke behuda or fahash kamon se rukne ka naam he lihaza ager koi gali galoj kare jihalat se pesh aai to use keh dena chahiye me roze se hu”(yani tumhara jawab nahi du ga) Sahi Bukhari or iben Khazima.
Roza sirf bhooka piayasa rehna nahi roza poore jism ka hota hai ankh , kaan se buri najayez cheez dekhne or sunna jayez nahi roze me zaban se hone wale guna jaise chugli geebat jhoot gali, tana dena ladai fuzul mazak karna yeh sab jayez nahi aksar log group me baith kar gappe hakne me yeh guna karte hai T.V. , Tab, I-pad , mobile , youtube, whats app, BBM, viber facebook per vedio dekhna share karne me apna roza nikalte hai to nabi s,a.w.s. ki hadees k mutabik un ka roza rakhne ka koi faida nahi.

3- Jo roze dar apni shehwat per qabu na rakhta ho is k liye biwi se gale milna or bosa lena roze ki halat me jayez nahi.
Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayet hai k ek admi nabi s.a.w.s. se roze ki halat me biwi se gale milne k bare me sawal kiya nabi s.a.w.s. ne ise ijazat de di fir ek aur admi aaya is ne wahi sawal poocha nabi sa.w.s. ne ise mana farmaya ijazat nahi di(hazrat abu Huraira r.a. kehte hai) jis ko nabi sa.w.s. ne ijazat di woh boodha(older age) tha or jise nabi sa.w.s. ne mana farmaya woh jawan tha. Hadees Hasan Sunan Abu Dawood 2090.

4- Roze ki Halat me Qulli karte waqt naak me is tarh pani dalna jayez nahi k halaq tak pohachne ka darr ho.

Hazrat Luqeet bin sabra r.a. apne baap se riwayet karte hai k me ne kaha” Ya Rasool Allah sa.w.s. wazu k bare me mujeh kuch bataie. ” Nabi sa.w.s. ne farmaya” wazu poora karo, ungliyon k darmiyan khilal karo or naak me achchi tarah pani dalo lekin ager roza ho to fir aisa na karo” Suana Abu Dawood wo tirmizi-631.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)