Islamic Blog

Roze me woh kaam jis se roza makrooh Nahi hota.

1-Roze ki halat me bhool chook se kuch kha pi lene se na roza toot ta hai na makhrooh hota hai.
Hazrat Abu Huraira r.a. nabi s.a.w.s. se riwayet karte hai k nabi s.a.ws. ne farmaya” Jab koi bhool kar kha pi le to apna roza poora kare, kiyon ke ise Allah ne khilaya pilaya he” Sahi bhukhari-Muktasar vol. 940.

2-Miswak karne se roza makhrooh nahi hota.
Hazrat Amir bin rabiya r.a. se riwayet hai me nabi s.a.w.s. ko roze ki halat me itni martaba miswak karte dekha he k gin nahi sakta” Sahi bukhari kitabus som baab miswak.

3- Roze ki halat me Garmi ki shiddat se sar k ooper paani bahane se roza makhrooh nahi hota.

Hazrat Abu bakar bin Andurr rehman kehte hai nabi s.a.w.s k ashaab me se ek sahabi ne kaha ” main ne nabi s.a.ws. ko dekha k nabi s.a.w.s. roze me garmi ya piyaas ki wajah se sar per pani baha rahe thy” Hadees sahi sunan Abu Dawood-2082.

4- Roze ki halat me sote hue ya jagte hue mazi kharij ho ya ehtelaam(night fall) ho jai to na roza toot ta hai na makhrooh hota hai,
Hazrat Abdullah bin Abbas r.a. or Hazarat Akrama r.a. farmate hai “Roza kisi cheez k jism me dakhil(entry) hone se toot ta hai jism se kharij (release) hone se nahi toot ta” Sahi Bukhari-kitab som.
**Jaan bukh k k koi roze ki halat me mazi ya mani nikale to is se roza bhi toot jata hai or us roze ki qaza or kuffara bhi ada karna ho ga or Allah se tawba karni ho gi**

5- sar me tel (oil) lagane, khangi(comb) karne ya ankho me surma lagane se roza makhrooh nahi hota.
6- Handiya(jis bartan me khana pak raha ho)use chakhne se, thook nigalna, makhkhi(bee) k halaq me chale jane se roza makhrooh nahi hota.
7- Roza dar garmi ki shiddat me kapda pani se gila kar k badan pa rakh sakta he is se roza makhrooh nahi hota.
(point 5,6 and 7 from Hadees Sahi bukhari chapter siyam)

8-Ager kisi per gusal farz ho, lekin der se uthe, to sehri kha kar gusul kar sakta he Albatta khane se pehle wazu kar lena chahiye.
Hazrat Abu bakar bin Abdur rehman r.a. se riwayet hai k main or mere walid Hazrat Aysha r.a. k paas aay. Hazrat Aysha r.a. ne bayan kiya “Main gawahi deti hu Rasool Allah s.a.w.s. ehtelam k sabab se nahi balke jima k sabab se Halat janabat me subha karte or (gusul kiye bagair) roza rakhte(baad me namaz fajar se pehle gusul farmate). fir hum dono hazrat Umme Salma r.a. k paas aay or unhon ne bhi yahi baat kahi” Sahi bukhari baab Igtesaalus sayem.
ramzan me raat jima k baad showher or biwi late uthe or bina gusul ki halat me sirf wazu kar shehri kha sakte hai per fajar ki namaz se pehle gusul kar namaz padh sakte hai un ka roza durust ho ga.

9- Roze ki halat me biwi ka bosa (kis) lena jayez hai per shart hai jazbat per qabu ho.
Hazrat Umer r.a. se riwayet hai k farmate he ek roz mera ji chaha or main ne roze ki halat me apni biwi ka bosa le liya. fir me nabi s.a.w.s. ki khidmat me aaya arz kia”aaj me ne bada galat kaam kiya he’ roze ki halat me apni biwi ko bosa le liya” Rasool Allah s.a.w.s. ne farmaya” achcha batao ager tum roze ki halat me qulli kar lo to fir? me ne arz kiya qulli me kiya harz he. nabi s.a.ws. ne farmaya fir kis cheez me harz hai?”yani bosa lene me koi harz nahi. Hadees sahi Sunan Abu dawood or musnad Ahmad.

10- Roze ki Halat me pichne* lagwana jayez hai.
Hazrat Abdullah bin Abbas r.a. ne farmate hai nabi s.a.w.s ne roze ki halat me pichne* lagwai” Mukhtasar Sahi Bukhari-942.
*Ilaaj ki tor per soi(niddle), blade ya usture k saath jism ki kisi hisse se khoon nikalne ko pichne ya seenghi lagwana kehte hai. aaj k modren technology me ise cupping treatment kehte hai.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)

One Response