Islamic Blog

Roza Allah ki ibadat ka ek tareeka hai, Lekin sirf bhuka aur pyasa rahne ka naam Roza nahi hai, balki roza poore badan ka hota hai, jese aankh ka roza, kaan ka roza, zuban ka roza, haath ka roza, per ka roza wagerah .
(1) Aankh ka roza matlab apni aankh ko parae mard ya parai aurat ko dekhne se bachao, hamari aankh kuch buri cheez na dekhe,
(2) kaan ka roza matlab hamare kaan kisi dusre ki burai (ghibat) na sune, music na sune,
(3) zuban (jeebh) ka roza matlab hum kisi ki peeth piche burai (ghibat) na karen, jhoot na bolen, chugli na karen, gaali na den, kisi ko kadwi baat na bolen, taana na den, dil na dukhaen,
(4) haath ka roza matlab kisi par hamare haath zulm na karen,
(5) per ka roza matlab hamare per bure kaamo ki taraf chal kar na jaaen.
Roza mein bhooke pyase rahne ke alawa in upar batae gunaho se bachna bhi zaruri hai tabhi hum roze ke maqsad (aim) tak pahuch sakte hain. Aur Allah bhi aese hi roze ko pasand karta hai jisme gunaho se bacha gaya ho.
Yaha par ye baat dhyan dene ki hai ke sirf roze mein hi upar batae gae gunaho se nahi bachna hai balki puri zindagi in gunaho se bachna hai.
Aajkal TV har ghar mein hai jiski wajah se insan roze mein bhi kuch gunaho se nahi bach pata, jese music islam mein haram hai lekin TV ke zariye rozdaar bhi music sun raha hai, parai aurat/mard ko naachte hue dekh raha hai, vulgar ( sexy) scene puri family ke saath beth kar dekh raha hai. Kam se kam ramzan mein to TV ko band rakhna chahiye.
Allah hum sabko gunaho se bachte hue roza rakhne ki taufik ata kare, Aameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm