Saas Bahu Ka Jagda
Hamare Samaj Ka Yeh Bohat Kabile Afsos Aur Dard Naak Saniha He Ki Takriban Har Ghar Me Sadiyo Se Saas Bahu Ki Ladai Ka Marka Jari He.Duniya Ki Badi Badi Ladaiya Yaha Tak Ki Aalmi Jungo Ka Khatima Ho Gaya Magar Saas Bahu Ki Jung Azeem Yeh Ek Esi Manhoos Ladai He Ki Takriban Har Ghar Is Ladai ka Medan E Jung Bana Huwa He.
Kis Kadr Tazzub Aur Herat Ki Baat He Ki Maa Kitne Laad Pyar Se Apne Beto ko Palti He Aur Jab Ladke Jawan Ho Jate He Toh Lodko Ki Maa Apne Beto Ki Shadi Aur In Ka Sahara Dhekne Ke Liye Sab Se Jiyada Bechain Aur Be Karar Rehti He Aur Ghar Ghar Ka Chakkar Laga Kar Apne Bete Ki Dulhan Talash Karti Firti He.Yaha Tak Ki Badr Pyaar Aur Chah Se bete Ki Shadi Rachati He Aur Apne Bete Ki Shadi Ka Sahara Dhek Kar Khusi Se Fulle Nahi Samati Magar Jab Garib Dulhan Apna Meka Chor Kar Aur Apne Maa Baap Bhai Behan Aur Riste Naate Walo Se Juda Ho Kar Apne Sasural Me Kadam Rakhti He To Ek Dum Saas Bahu Ki Harif Ban Kar Apni Bahu Se Ladne Lagti He Aur Saas Bahu Ki Jung Ho Jati He Aur Be Chara Sohar Maa Aur Biwi Ki Ladai Ki Chakki Ke Do Patto Ke Darmiyan Kuchalne Aur Pisne Lagta He.
Garib Sohar Ek Taraf maa Ke Ehsano Ke Boj Se Daba Huwa Aur Dusri Taraf Biwi Ki Muhabbat me Jakda Huwa Maa Aur Biwi Ki Ladai Ka Manzar Dhek Dhek Kat Koft ki Aag Me Jalta Rehta He Aur Us Ke liye Badu Muskil yeh Aan padti He Ki Agar Woh Is Ladai Me Apni Maa Ki Himayat Karta He To Biwi Ke Rone Dhone Aur Is Ke Tano Aur Meke Chali Jane Ki Dhamkiyo Se Us Ka Bheja Kholne Lagta He.
Aur Agar Biwi ki Padedari Me Ek Lafz Bol Deta He To Maa Apni Chikho Pukar Aur Kosno Se Sara Ghar Sar Par Utha Leti He Aur Sari Biradari Me “Aurat Ka Murid” “Jan Parast ” “Biwi Ka Galmatta” Kehlane Lagta He Aur Ese Garm Garm Aur Dil Kharash Tane Sunta he Ki Ranzo Gum Se Us Ke Sine Me Dil Fathne Lagta He.
Is Me Shak Nahi Ki Saas Bahu ki Ladai Me Saas bahu Aur Sohar Teeno Ka Kuch Na Kuch Kasur Jarur Hota He Lekin Mera Barso Ka Tazurba Yeh He Ki Is Ladai Me Sab Se ada Hath Saas Ka Huwa Karta He Halaki Har Saas Phele Khud Khud Bhi Bahu Reh Chuki Hoti He.Magar Woh Apne Bahu Ban Kar Rehna Ka Zamana Bilkul Bhul Jati He Aur Apni Bahu Se Jarur Ladai Karti He Aur Is Ki Ek Khas Wajha Yeh He Ki Jab Tak Ladke Ki Shadi Nahi Hoti.Sou Fisadi Bete Ka Taluk Maa Se Huwa Karta He.
Beta Apni Sari Kamai Aur Jo Saaman Bhi Lata He Woh Apni Maa hi Ke Hath Me Deta He Aur Har Chiz Maa Hi Se Talab karta Ke Istemal Karta He Aur din Raat Sekdo Martaba Amma Amma Keh Kar Baat Baat Me Maa ko Pukarta He.
Is Se Maa Ka Kaleja Khusi Se Ful Kar Ser Bhar Ka Ho Jaya Karta He Aur Maa Is Khyal Me Magan Rehti He Ki Me Ghar Ki Malkin Hu.Aur Mera Beta Mera Farma Bardar He Lekin Shadi Ke Baad Bete Ki Muhabbat Biwi Ki Taraf Rukh Kar Leti He.Aur Beta Kuch Na Kuch Apni Biwi Ko Dene aur Kuch Na Kuch Is Se Mang Kar Lene Lagta He To Maa Ko Fitri Tour Par Bada Zatka Lagta He Ki Mere Bete Ki me Ne is Ko Paal Posh Kar Bada Kiya Ab Yeh Mujh Ko Nazr andaz Karke Apni Biwi Ke Kabze Me Chala Gaya
Ab Amma Amma Pukarne Ki Bajaye Begum begum Pukara Karta He.
phele Apni Kamai Mujhe Deta Tha Ab Biwi Ke Hath se Har Chiz Liya Diya Kata He Ab Ghar Ki Malkin me Nahi Rahi Is Khyal Se Maa Par Ek Zalahat Suwar Ho Jati He Aur Woh Bahu Ko Zazbe Hasad Me Apni Harif Aur Mudde Mukabil Bana Kar is se Ladai Zagda Karne Lagti He Aur Bahu Me Tarah Tarah Ke Aib Nikal Ne Lagti He Aur Kism Kism Ke Tane Aur Kosne dena shuru Kar Deti He Bahu Shuru Shuri Me Toh Yeh Khyal Kar Ke Ki Yeh Mere Sohar Ki Maa He Kuch Dino Tak Chup Rehti He Magar Jab Saas Had Se jiyada Bahu Ke Halk Me Ungli Dalne Lagti He Toh Bahu Ko Bhi Phele Toh Nafrat Ki Matli Aane Lagti He Fir Woh Bhi Ek Dum Sina Tan Kar Saas Ke Aage Tano Aur Kosno Ki Ke Karne Lagti He Aur Fir Muaamla Badhte Badhte Dono Taraf Se Tarakki Ba Tarakki Suwalo Jawab Ka Tabdala Hone Lagta He Yaha Tak Ki Galiyo Ki Bambari Shuru Ho jati He.
Fir BadhTe Badhte Is Jung Ke Shole Saas Aur Bahu Ke Khandano Ko bhi Apni Lapet Me Le lete He.Aur Dono Khandano Me Bhi Jung e Azeem Shuru Ho Jati he.
Mere Khyal Me Is Ladai Ke Lhatima Ki Behtarin Surat Yehi He Ki Is Jung Ke Teeno Farik Yani Saas Bahu Aur Beta Teeno Apne Apne Hukook Wa Faraiz Ada Karne Lage To Insha ALLAH hamesha Ke Liye Is Jung Ka Khatima Yakini He.
SOurce:http://www.diniraah.net/
Latest posts by Noor Saba (see all)
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022