Islamic Blog

Hazrat Abu Saeed Khudri Radhi ALLAH anhu ne bayan kiya ke ansaar ke kuchh logo ne *Rasul ALLAH Sallallahu alaihi wasallam* se sawal kiya to aap ne unhe diya. Phir unhone sawal kiya aur aap ne phir diya. Yaha tak ke jo maal aapke paas tha ab wo khatm ho gaya. Phir aap ne farmaya ke, “Agar mere paas koi maal wa daulat ho to use bacha kar nahi rakhuga magar jo shakhs sawal karne se bachta hai to ALLAH TA’ALA bhi use sawal karne se mahfooz rakhta hai. Aur jo shakhs beniyazi baratta hai to ALLAH TA’ALA bhi use beniyaz bana deta hai aur jo shakhs apne upar zor daal kar bhi sabr karta hai to ALLAH TA’ALA bhi use sabr wa istaqlal de deta hai. Aur kisi ko bhi sabr se zyada behtar aur usse zyada bepayan khair nahi mili.”

Ise bukhari aur muslim ne bayan kiya hai
Al Lulu walmarjan h (1/627)

*FAIDAH*

Is hadis se malum hua ke *Rasul ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam* ne sabr karne aur sawal (dusro ke aage hath phailana) na karne ka hukm diya hai. Kyun ke sabr karna nek logo ki nishani hai aur jo sabr karta hai ALLAH TA’ALA usko aur sabr karne ki taqat de deta hai aur usko sawal karne aur dusro ke aage haath phailane ki naubat nahi aati. Besabr insaan apni sabr na karne ki aadat ki wajah se pareshan rahta hai aur kabhi khush nahi rah pata aur sabr karne wala har haal me sabr aur shukr ke sath khush rahta hai.

ALLAH hum sab ko har haal me sabr karne ki taufiq de aur hume dusro se sawal karne se mahfooz rakhe. AMEEN.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)