Islamic Blog

Ek baar ek sahaba (radi allahu anhu) ne khade hokar arz kiya: Allah ke nabi (sallallahu alyhiwasallam) Logo mein sabse samajhdar kon hai? Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmya, jo insan sabse zyada maut ko yaad karne wala ho, aur maut ke aane se pahle maut ki tayyari sabse zyada karne wala ho (jo log aesa kare wahi samajhdar hain), Yahi log hain jinhone duniya ki sharafat aur aakherat ki izzat haasil kar li.

Dosto, Matlab ye hua ke Allah ne jo humko zindagi di hai, wo ek baar ki hi hai, baar baar humko ye moka nahi milega, duniya mein kiye acche ya bure kaamo ke hisab se hi Allah marne ke baad hamara fesla karega, marne ke baad kuch nahi ho sakta, isliye marne se pahle pahle acche kaam kar lo aur kuch akherat ke liye bhi nekiya jama kar lo, duniya ka jama kiya pesa, naam, shohrat sab duniya mein hi rah jaegi, marne ke baad to sirf insan ki nekiya hi kaam aaengi, jab mar kar kharab insan apna haal dekhega to chahega ke duniya mein wapas bhej diya jaau, aur waha jaakar phir ab koi gunah na karuga lekin moka khatam ho chuka hota hai.

Hum khud soche agar ek insan safar kar raha hai, to wo safar mein sirf zarurat ka saaman rakhta hai, safar ke time har aesh nahi chahta, wo sochta hai manzil par pahuch kar hi aaram aur maze karenge, wese hi ye duniya ek safar hai aur manzil jannat hai, duniya ke peeche itna bhaago ke ek acchi zindagi guzar jaae, bahut zyada kamane ki lalach mein aakherat ko kharab na karo, kyonke ye zindagi to sirf 60-70 saal ki hai, lekin jannat ki zindagi kabhi khatam hone waali nahi. Aur jannat ke bhi kai level hain, har insan ek jesi jannat mein nahi jaega, bas ye samajh lijiye ke jitni zyada nekiya, utni zyada badi aur luxury jannat. Ab ye humko sochna hai ke kis level ki jannat mein jana hai.

Allah hum sabko marne se pahle marne ke baad ki zindagi ki tayyari karne wala bana de. Aameen. Summa Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm